tabut nagar
mujhe pata bhī na chalā
aur maiñ tābūt-nagar aa gayā
ye itnā mub.ham bhī na thā
tābūt-nagar
jis kī galiyoñ meñ
insān apnī parchhā.iyoñ se kaT jaate haiñ
tābūt nagar ke chaar chob darvāze aur darīche
insānoñ ke muntazir haiñ
jo apne gharoñ meñ dafn haiñ
jab yaḳh-basta havā.eñ Takrātī haiñ un gharoñ se
to ye log apnī badbū-dār saañs
kisī ġhubāre kī tarah apne andar bhar lete haiñ
jab log apnī ḳhāmoshī se uktā jaate haiñ
shor kī talāsh meñ
dīvāroñ ko toḌ kar
bāhar nikal aate haiñ
apne aziim maqsad kī aaḌ meñ
ek dūsre ko daar se laTkāte haiñ
mujhe pata bhī na chalā
aur maiñ tābūt-nagar aa gayā
pichhlī raat
kyūñki har insān kī ek pichhlī raat hotī hai
jab bille rote haiñ
jab ḳhāna-zād makḌī jaalā buntī hai
jis ke markaz meñ chamak uThtā hai chāñd
jab insānoñ ke andar ke jhaaḌ jhankār
un ke kānoñ nathnoñ se
un ke dahan aur maq'ad se
bāhar nikal aate haiñ
jab zahrīle kukurmutte ugte haiñ
un kī shiryānoñ se
jinheñ apnī zarūrat ke mutābiq
vo apne chaugāth par sajāte haiñ
ḳhūbsūrat rangoñ se rangte haiñ
ḳhūbsūrat lafzoñ se Dhak kar
duniyā ke sāmne laate haiñ
pichhlī raat
kisī ne kahā thā
ab is raat kā mātam be-kār hai
vaqt aa chukā hai ki log
apne tābūt se uThā.e jaa.eñ
dho dhulā kar achchhe kapḌe pahnā.e jaa.eñ
na.e sire se dafnā.e jaa.eñ
is kī zarūrat aa chukī hai
ki tārīḳh se logoñ ke nā-jā.ez qabze haTā.e jaa.eñ
to maiñ ne nafī meñ sar hilāyā
ye hamāre ḳhuun meñ hai
ye jarsūme kabhī nahīñ marte
inheñ baar baar jī uThne kī lat hai
inheñ baar baar dafnānā zarūrī ho jaatā hai
aur maiñ mez se uThne vaalā āḳhirī shaḳhs na thā
jise apne tābūt ke andar jaanā thā
na ye āḳhirī baar thā ki mujhe tābūt se bāhar aanā thā
na ye āḳhirī baar thā ki na.e sire se
ek na.e mātam ke saath ek na.e katbe ke saath
mujhe ek na.e tābūt meñ apnā ghar basānā thā
aur mujhe pata bhī na chalā
maiñ tābūt-nagar aa gayā
mujhe pata bhi na chala
aur main tabut-nagar aa gaya
ye itna mubham bhi na tha
tabut-nagar
jis ki galiyon mein
insan apni parchhaiyon se kaT jate hain
tabut nagar ke chaar chob darwaze aur dariche
insanon ke muntazir hain
jo apne gharon mein dafn hain
jab yaKH-basta hawaen Takraati hain un gharon se
to ye log apni badbu-dar sans
kisi ghubare ki tarah apne andar bhar lete hain
jab log apni KHamoshi se ukta jate hain
shor ki talash mein
diwaron ko toD kar
bahar nikal aate hain
apne azim maqsad ki aaD mein
ek dusre ko dar se laTkate hain
mujhe pata bhi na chala
aur main tabut-nagar aa gaya
pichhli raat
kyunki har insan ki ek pichhli raat hoti hai
jab bille rote hain
jab KHana-zad makDi jala bunti hai
jis ke markaz mein chamak uThta hai chand
jab insanon ke andar ke jhaD jhankar
un ke kanon nathnon se
un ke dahan aur maq'ad se
bahar nikal aate hain
jab zahrile kukurmutte ugte hain
un ki shiryanon se
jinhen apni zarurat ke mutabiq
wo apne chaugath par sajate hain
KHubsurat rangon se rangte hain
KHubsurat lafzon se Dhak kar
duniya ke samne late hain
pichhli raat
kisi ne kaha tha
ab is raat ka matam be-kar hai
waqt aa chuka hai ki log
apne tabut se uThae jaen
dho dhula kar achchhe kapDe pahnae jaen
nae sire se dafnae jaen
is ki zarurat aa chuki hai
ki tariKH se logon ke na-jaez qabze haTae jaen
to main ne nafi mein sar hilaya
ye hamare KHun mein hai
ye jarsume kabhi nahin marte
inhen bar bar ji uThne ki lat hai
inhen bar bar dafnana zaruri ho jata hai
aur main mez se uThne wala aaKHiri shaKHs na tha
jise apne tabut ke andar jaana tha
na ye aaKHiri bar tha ki mujhe tabut se bahar aana tha
na ye aaKHiri bar tha ki nae sire se
ek nae matam ke sath ek nae katbe ke sath
mujhe ek nae tabut mein apna ghar basana tha
aur mujhe pata bhi na chala
main tabut-nagar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.