taj
jān-e-gulshan aur jānān-e-bahār
jāvedāñ sham-e-shabistān-e-bahār
ifitḳhār-e-rozgār-e-be-sabāt
yādgār-e-bazm-e-vīrān-e-bahār
ik dimāġh-e-san.at-e-marhūm-e-hind
ik charāġh-e-zer-e-dāmān-e-bahār
ambarīñ sabze pe muḳhtār-e-iram
marmarīñ afsar pe sultān-e-bahār
vāqa.ī tābīr-e-ḳhvāb-e-husn-o-ishq
āḳhirī tasvīr-e-tūfān-e-bahār
ḳhāmushī kā naġhma-e-mavvāj hai
taaj ab bhī rif.atoñ kā taaj hai
sub.h-e-jannat kī sabāhat is meñ hai
shām-e-gulshan kī latāfat is meñ hai
is ke har lamhe meñ ik taaza bahār
ik na.ī har vaqt jannat is meñ hai
māddiyat is ko chhū saktī nahīñ
ruuh kī goyā hukūmat is meñ hai
jalva-kārī kam se kam itnī to ho
dekhiye jab ek nudrat us meñ hai
husn kī jo māya-e-mumtāz thī
ab bhī pinhāñ vo amānat is meñ hai
ishrate-nazzāra kī me.arāj hai
taaj ab bhī azmatoñ kā taaj hai
taaj ik bijlī hai lahrātī huī
ik tajallī kaif meñ Duubī huī
yā jabīn-e-hūr kī koī shikan
ik bayāz-e-nūr meñ lipTī huī
bām-o-dar se gumbad-o-mīnār se
har taraf ik chāñdnī phailī huī
aah ye mahfil ziyā-o-husn kī
chāñd-tāroñ se murattab kī huī
is ke har goshe meñ zarroñ kī tarah
daulat-e-kaunain hai bikhrī huī
hai kahīñ nīlam kahīñ pokhrāj hai
taaj ab bhī san.atoñ kā taaj hai
vus.at-e-kaun-o-makāñ kā aa.ina
jalva-zār-e-kahkashāñ kā aa.ina
jis ko duniyā kho ke rotī hī rahī
is matā-e-rā.egāñ kā aa.ina
ek bazm-e-rafta kā mātam-gusār
ik nishān-e-be-nishāñ kā aa.ina
dil-kushā tasvīr-e-sub.h-e-anjuman
dāstān-e-pāstāñ kā aa.ina
azmat-e-mumtāz kī ik jalva-gāh
shaukat-e-shāh-jahāñ kā aa.ina
yādgār-e-mahfil-e-tārāj hai
taaj ab bhī hairatoñ kā taaj hai
jaan-e-gulshan aur jaanan-e-bahaar
jawedan sham-e-shabistan-e-bahaar
ifitKHar-e-rozgar-e-be-sabaat
yaadgar-e-bazm-e-viran-e-bahaar
ek dimagh-e-sanat-e-marhum-e-hind
ek charagh-e-zer-e-daman-e-bahaar
ambarin sabze pe muKHtar-e-iram
marmarin afsar pe sultan-e-bahaar
waqai tabir-e-KHwab-e-husn-o-ishq
aaKHiri taswir-e-tufan-e-bahaar
KHamushi ka naghma-e-mawwaj hai
taj ab bhi rifaton ka taj hai
subh-e-jannat ki sabahat is mein hai
sham-e-gulshan ki latafat is mein hai
is ke har lamhe mein ek taza bahaar
ek nai har waqt jannat is mein hai
maddiyat is ko chhu sakti nahin
ruh ki goya hukumat is mein hai
jalwa-kari kam se kam itni to ho
dekhiye jab ek nudrat us mein hai
husn ki jo maya-e-mumtaz thi
ab bhi pinhan wo amanat is mein hai
ishrate-nazzara ki mearaj hai
taj ab bhi azmaton ka taj hai
taj ek bijli hai lahraati hui
ek tajalli kaif mein Dubi hui
ya jabin-e-hur ki koi shikan
ek bayaz-e-nur mein lipTi hui
baam-o-dar se gumbad-o-minar se
har taraf ek chandni phaili hui
aah ye mahfil ziya-o-husn ki
chand-taron se murattab ki hui
is ke har goshe mein zarron ki tarah
daulat-e-kaunain hai bikhri hui
hai kahin nilam kahin pokhraj hai
taj ab bhi sanaton ka taj hai
wusat-e-kaun-o-makan ka aaina
jalwa-zar-e-kahkashan ka aaina
jis ko duniya kho ke roti hi rahi
is mata-e-raegan ka aaina
ek bazm-e-rafta ka matam-gusar
ek nishan-e-be-nishan ka aaina
dil-kusha taswir-e-subh-e-anjuman
dastan-e-pastan ka aaina
azmat-e-mumtaz ki ek jalwa-gah
shaukat-e-shah-jahan ka aaina
yaadgar-e-mahfil-e-taraj hai
taj ab bhi hairaton ka taj hai
- Subh-e-Mashriq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.