taj-mahal
āriz-e-vaqt pe aañsū kā laraztā qatra
jis ne patthar ko mohabbat ke sikhā.e andāz
chāñdnī jis ko uḌhātī hai sunahrā āñchal
hūreñ hasrat-bharī nazroñ se jise taktī haiñ
sa.png-e-marmar meñ dhulā shaah kā pyārā sapnā
sat.h-e-jamunā pe khilā ho koī pyārā sā kañval
kisī āshiq kī hasīñ yaad kā hai aks-e-jamīl
kisī kāġhaz pe musavvir ke ḳhayāloñ kā jamāl
kisī dīvāne ke ḳhvāboñ kī ye ta.amīr-e-hasīñ
kisī aazar kā tarāshā huā ḳhāmosh sanam
yā kisī shā.er-e-mad.hosh kī rangīn ġhazal
mahv-e-ārām hai jis meñ koī 'mumtāz' mahal
ahl-e-ulfat kī nishānī hai yahī tāj-mahal
aariz-e-waqt pe aansu ka larazta qatra
jis ne patthar ko mohabbat ke sikhae andaz
chandni jis ko uDhati hai sunahra aanchal
huren hasrat-bhari nazron se jise takti hain
sapng-e-marmar mein dhula shah ka pyara sapna
sath-e-jamuna pe khila ho koi pyara sa kanwal
kisi aashiq ki hasin yaad ka hai aks-e-jamil
kisi kaghaz pe musawwir ke KHayalon ka jamal
kisi diwane ke KHwabon ki ye tamir-e-hasin
kisi aazar ka tarasha hua KHamosh sanam
ya kisi shaer-e-madhosh ki rangin ghazal
mahw-e-aram hai jis mein koi 'mumtaz' mahal
ahl-e-ulfat ki nishani hai yahi taj-mahal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.