taj-mahal
ḳhayāl-e-husn-o-mohabbat lihāz-e-ahd-e-vafā
dil-o-nazar ko jagā.e ki jaise sehr kiyā
ḳhabar nahīñ ki kahāñ Thahre zindagī kī adā
abhī to ek hī vahdat hai ishq kī be-kal
ye taaj hai ki mohabbat kī yādgār koī
ki ek TuuTe hue dil kā hai qarār koī
kare to merī tarah tujh se kaash pyaar koī
jalā.e jaate haiñ yuuñ bhī to zindagī ke kañval
zamīñ pe aaya huā nuur kā ye ik TukḌā
ba-shakl-e-tāj hai goyā ik aarzū kī fazā
ye naqsh-e-sabz-o-siyah surḳh marmarīñ a.azā
pahan ke baiThe koī jaise dūdhiyā malmal
pukārtā hai ye shahkār mujh ko daad to do
mire jamāl ke kasrat kī taab hai kis ko
mirī nazar kī ye taqdīs-e-arsh-o-farsh na ho
maiñ ek husn-e-nazar huuñ maiñ ek husn-e-azal
koī ho duur kisī se ki koī pahlū-nashīñ
magar ḳhayāl-o-gumāñ kī hudūd bhī to nahīñ
fanā hai āḳhirash har kār-e-āsmān-o-zamīñ
to phir hamesha rahegā ye kaise tāj-mahal
KHayal-e-husn-o-mohabbat lihaz-e-ahd-e-wafa
dil-o-nazar ko jagae ki jaise sehr kiya
KHabar nahin ki kahan Thahre zindagi ki ada
abhi to ek hi wahdat hai ishq ki be-kal
ye taj hai ki mohabbat ki yaadgar koi
ki ek TuTe hue dil ka hai qarar koi
kare to meri tarah tujh se kash pyar koi
jalae jate hain yun bhi to zindagi ke kanwal
zamin pe aaya hua nur ka ye ek TukDa
ba-shakl-e-taj hai goya ek aarzu ki faza
ye naqsh-e-sabz-o-siyah surKH marmarin aaza
pahan ke baiThe koi jaise dudhiya malmal
pukarta hai ye shahkar mujh ko dad to do
mere jamal ke kasrat ki tab hai kis ko
meri nazar ki ye taqdis-e-arsh-o-farsh na ho
main ek husn-e-nazar hun main ek husn-e-azal
koi ho dur kisi se ki koi pahlu-nashin
magar KHayal-o-guman ki hudud bhi to nahin
fana hai aaKHirash har kar-e-asman-o-zamin
to phir hamesha rahega ye kaise taj-mahal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.