taj-mahal
merī mahbūb zarā aaj mire saath to chal
aaj ham manzil-e-ulfat kā nishāñ pā leñge
duur duniyā kī nigāhoñ se kahīñ par chhup kar
maiñ ne sochā hai ki ik tāj-mahal Dhā leñge
baad nau maah ke shahkār barāmad hogā
us ajūbe kī magar shāhjahāñ tū hogī
us meñ aa.egā nazar terī hasīñ shakl kā aks
mere aḳhlāq-o-sharāfat kī bhī kuchh bū hogī
kyā ḳhabar tujh ko javāñ ho ke tirā tāj-mahal
raunaq-e-mahfil-e-hastī ko do-bālā kar de
aaj sunsān añdheroñ meñ jise Dhāleñ ham
kal vahī saare zamāne meñ ujālā kar de
merī mahbūb ye duniyā kī imārāt-e-qadīm
dāman-e-arz pe chhīñToñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
rauza-e-tāj ko is tarah ta.ajjub se na dekh
ye tarāshī huī īñToñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī mahbūb zarā der kī taklīf sahī
zabt kar zabt ki ik tāj-mahal bantā hai
apnī hastī ko miTā detī hai ma.asūm kalī
tab kahīñ jā ke kisī shāḳh pe phal bantā hai
meri mahbub zara aaj mere sath to chal
aaj hum manzil-e-ulfat ka nishan pa lenge
dur duniya ki nigahon se kahin par chhup kar
main ne socha hai ki ek taj-mahal Dha lenge
baad nau mah ke shahkar baramad hoga
us ajube ki magar shahjahan tu hogi
us mein aaega nazar teri hasin shakl ka aks
mere aKHlaq-o-sharafat ki bhi kuchh bu hogi
kya KHabar tujh ko jawan ho ke tera taj-mahal
raunaq-e-mahfil-e-hasti ko do-baala kar de
aaj sunsan andheron mein jise Dhaalen hum
kal wahi sare zamane mein ujala kar de
meri mahbub ye duniya ki imaraat-e-qadim
daman-e-arz pe chhinTon ke siwa kuchh bhi nahin
rauza-e-taj ko is tarah tajjub se na dekh
ye tarashi hui inTon ke siwa kuchh bhi nahin
meri mahbub zara der ki taklif sahi
zabt kar zabt ki ek taj-mahal banta hai
apni hasti ko miTa deti hai masum kali
tab kahin ja ke kisi shaKH pe phal banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.