taj-mahal
shah-jahāñ kā taaj hai duniyā ke sab mahloñ kā shaah
pyaar kā ye giit hai qalb-e-hazīñ kī bhī hai aah
ik shahanshah kī mohabbat ho ga.ī hai lā-zavāl
paikar-e-marmar meñ pinhāñ hai numāyāñ hai kamāl
chaudhvīñ kī chāñdnī meñ taaj kā vo husn-o-rang
chāñd hai apne harīf-e-husn ke jalve se dang
zindagī meñ chāñd se baḌh kar hasīñ mumtāz thī
shah-jahāñ kī ham-nashīñ thī hamdam-o-hamrāz thī
husn us kā aaj bhī hai goshe goshe se ayaañ
taaj ke har ek pahlū meñ hai ulfat kā nishāñ
taaj husn-o-ishq kā hai aisā ik rangīn ḳhvāb
pesh karnā ġhair mumkin hai 'asad' jis kā javāb
shah-jahan ka taj hai duniya ke sab mahlon ka shah
pyar ka ye git hai qalb-e-hazin ki bhi hai aah
ek shahanshah ki mohabbat ho gai hai la-zawal
paikar-e-marmar mein pinhan hai numayan hai kamal
chaudhwin ki chandni mein taj ka wo husn-o-rang
chand hai apne harif-e-husn ke jalwe se dang
zindagi mein chand se baDh kar hasin mumtaz thi
shah-jahan ki ham-nashin thi hamdam-o-hamraaz thi
husn us ka aaj bhi hai goshe goshe se ayan
taj ke har ek pahlu mein hai ulfat ka nishan
taj husn-o-ishq ka hai aisa ek rangin KHwab
pesh karna ghair mumkin hai 'asad' jis ka jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.