tumheñ ma.alūm hai taimūr kī faujeñ jis vaqt
apne dushman pe baḌhā kartī thiiñ
aurteñ pīchhe rahā kartī thiiñ
aur jo aalim the fāzil the un insānoñ kā jarga sab ke
pīchhe pīchhe hī chalā kartā thā
kis liye sab ko rah-e-zīst pe har gaam baḌhāne vaale
sab se pīchhe hī chalā karte haiñ
ilm meñ ek hī buniyādī kamī hai varna
ilm har ek zamāne meñ har ek shai se taraqqī paatā
aaj iqbāl ye kahtā hai ki aurat hī kā sho.ala vo jis se yūnān
hashr tak ilm-e-falātūn se rahegā zinda
aaj schōl meñ college meñ maqām-e-avval
auratoñ ke liye maḳhsūs kiye jaate haiñ
aaj añgrezī paḌhī jaatī hai juġhrāfiya tārīḳh har ik ilm yahāñ
aise ustād sikhātā hai ki jaise ham ko
yahī ma.alūm nahīñ hai ki jo aalim the jo fāzil the un insānoñ kā jarga sab se
pīchhe pīchhe hī baḌhā kartā thā
aurteñ un se zarā aage rahā kartī thiiñ
aurteñ aaj bhī aage hī rahā kartī haiñ
aurteñ aaj bhī kahtī haiñ hamāre gesū
chāhe bikhre hoñ ki ek juuḌe meñ pāband kiye baiThe hoñ
dekhne vāloñ kī nākām tamannāoñ ko
ek hī haath ke pāband huā karte haiñ
vahī ik haath jo talvār ko pahlū meñ liye
sab se aage hī chalā kartā hai
us ko kuchh ilm kī parvāh nahīñ (aurat kī bhī parvāh kyā hai)
us ko kuchh ilm nahīñ kaise falātūñ pal meñ
ik sharar ban ke bujhā kartā hai
sāmne to hai magar terā munavvar chehra
usī jāhil ko nazar aatā hai
jo ye kahtā hai ki taimūr kī faujeñ jis vaqt
apne dushman pe baḌhā kartī thiiñ
aurteñ pīchhe rahā kartī thiiñ
aur jo aalim the jo fāzil the vo ye sochte the
haar kis shaḳhs kī hai jiit hai kis kī chhoḌo
ham bhī kin chhoTī sī bātoñ meñ ulajh baiThe haiñ
chalte chalte mujhe tezī se ḳhayāl aayā hai
terā ye juuḌā jo khul jaa.e bikhar jaa.e to phir kyā hogā
merī tārīḳh ki terī tārīḳh
phail kar aaj pe (aur kal pe bhii) chhā jā.egī
sochne vaale ko ik pal meñ batā jā.egī
aurteñ pīchhe agar hoñ bhī to aage hī rahā kartī haiñ
aur falātūñ kā chachā haath meñ talvār liye aage baḌhā kartā hai
lo vo juuḌā bhī falātūñ hī se kuchh kahne lagā
aur raste meñ use kaun milegā taimūr
aur vo us se kahegā ki yahāñ kyuuñ aa.ī
jā mire pīchhe chalī jā ki tire pīchhe hamesha har-dam
ilm yuuñ reñgte hī reñgte baḌhtā jaa.e
jaise har baat ke pīchhe har baat
reñgte reñgte baḌhtī hī chalī jaatī hai
aur har ek falātūñ jo sharar ban ke chamaktā hai vo miT jaatā hai
tumhein malum hai taimur ki faujen jis waqt
apne dushman pe baDha karti thin
aurten pichhe raha karti thin
aur jo aalim the fazil the un insanon ka jarga sab ke
pichhe pichhe hi chala karta tha
kis liye sab ko rah-e-zist pe har gam baDhane wale
sab se pichhe hi chala karte hain
ilm mein ek hi buniyaadi kami hai warna
ilm har ek zamane mein har ek shai se taraqqi pata
aaj iqbaal ye kahta hai ki aurat hi ka shoala wo jis se yunan
hashr tak ilm-e-falatun se rahega zinda
aaj school mein college mein maqam-e-awwal
auraton ke liye maKHsus kiye jate hain
aaj angrezi paDhi jati hai jughrafiya tariKH har ek ilm yahan
aise ustad sikhata hai ki jaise hum ko
yahi malum nahin hai ki jo aalim the jo fazil the un insanon ka jarga sab se
pichhe pichhe hi baDha karta tha
aurten un se zara aage raha karti thin
aurten aaj bhi aage hi raha karti hain
aurten aaj bhi kahti hain hamare gesu
chahe bikhre hon ki ek juDe mein paband kiye baiThe hon
dekhne walon ki nakaam tamannaon ko
ek hi hath ke paband hua karte hain
wahi ek hath jo talwar ko pahlu mein liye
sab se aage hi chala karta hai
us ko kuchh ilm ki parwah nahin (aurat ki bhi parwah kya hai)
us ko kuchh ilm nahin kaise falatun pal mein
ek sharar ban ke bujha karta hai
samne to hai magar tera munawwar chehra
usi jahil ko nazar aata hai
jo ye kahta hai ki taimur ki faujen jis waqt
apne dushman pe baDha karti thin
aurten pichhe raha karti thin
aur jo aalim the jo fazil the wo ye sochte the
haar kis shaKHs ki hai jit hai kis ki chhoDo
hum bhi kin chhoTi si baaton mein ulajh baiThe hain
chalte chalte mujhe tezi se KHayal aaya hai
tera ye juDa jo khul jae bikhar jae to phir kya hoga
meri tariKH ki teri tariKH
phail kar aaj pe (aur kal pe bhi) chha jaegi
sochne wale ko ek pal mein bata jaegi
aurten pichhe agar hon bhi to aage hi raha karti hain
aur falatun ka chacha hath mein talwar liye aage baDha karta hai
lo wo juDa bhi falatun hi se kuchh kahne laga
aur raste mein use kaun milega taimur
aur wo us se kahega ki yahan kyun aai
ja mere pichhe chali ja ki tere pichhe hamesha har-dam
ilm yun rengte hi rengte baDhta jae
jaise har baat ke pichhe har baat
rengte rengte baDhti hi chali jati hai
aur har ek falatun jo sharar ban ke chamakta hai wo miT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.