Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talim-o-tarbiyat

Shaukat Jamal

talim-o-tarbiyat

Shaukat Jamal

MORE BYShaukat Jamal

    baap ne beTe ko bulvā kar ye pūchhā kyā huā

    imtihāñ aaj to thā natīja kyā huā

    ye kahā beTe ne fauran apnā siina taan kar

    aap ḳhush hoñge yaqīnan ye haqīqat jaan kar

    kam karte haiñ kiyā jo aap aulād ne

    sāmne sab ke kahā mujh se mire ustād ne

    ham tumheñ jaane na deñge is jamā.at se abhī

    tum raunaq ho yahāñ aur tum raushnī

    aur bārah maah tum ārām se rahnā yahīñ

    in ko jaane do agar jaate haiñ baaqī ham-nashīñ

    sar-buland aur shādmāñ schōl se aayā huuñ maiñ

    ḳharch copy aur kitāboñ bachā laayā huuñ maiñ

    baap bolā vaah beTe kar diyā ne kamāl

    ḳhāndāñ meñ is tarah hai kahāñ koī misāl

    fikr mat kar shaan se aise schōl

    ik baras kaafī na ho to pāñch chhe be-shak lagā

    ye nasīhat hai magar mat baap izzat se khel

    paas chāhe na ho lekin kabhī honā na fail

    bap ne beTe ko bulwa kar ye puchha kya hua

    imtihan ka aaj hi to tha natija kya hua

    ye kaha beTe ne fauran apna sina tan kar

    aap KHush honge yaqinan ye haqiqat jaan kar

    kam hi karte hain kiya jo aap ki aulad ne

    samne sab ke kaha mujh se mere ustad ne

    hum tumhein jaane na denge is jamaat se abhi

    tum hi raunaq ho yahan ki aur tum hi raushni

    aur barah mah tum aaram se rahna yahin

    in ko jaane do agar jate hain baqi ham-nashin

    sar-buland aur shadman school se aaya hun main

    KHarch copy aur kitabon ka bacha laya hun main

    bap bola wah beTe kar diya tu ne kamal

    KHandan mein is tarah ki hai kahan koi misal

    fikr mat kar shan se aise hi tu school ja

    ek baras kafi na ho to panch chhe be-shak laga

    ye nasihat hai magar mat bap ki izzat se khel

    pas tu chahe na ho lekin kabhi hona na fail

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now