talluq ab bujha do
mire jugnū
ruko apne badan se merī ḳhushbū jhaaḌ Daalo
ta.alluq chand ghanToñ ke liye mujh se bujhā do
aur apnī aañkh meñ ujle dinoñ ke naqsh khīñcho
mirī bātoñ kā har ik lams dho Daalo
mire jugnū
kabhī schōl meñ ye mat batānā
ki huuñ mazdūr kā beTā
vagarna saare bachche bojh bastoñ kā
tumhāre kāñdhoñ kāñdhoñ gāḌeñge
mire vo ḳhvāb jo maiñ ne
tumhāre zard māthe par bune haiñ
unheñ ghar aane se pahle udheḌeñge
mire beTe mire jugnū
ta.alluq ab bujhā do
mere jugnu
ruko apne badan se meri KHushbu jhaD Dalo
talluq chand ghanTon ke liye mujh se bujha do
aur apni aankh mein ujle dinon ke naqsh khincho
meri baaton ka har ek lams dho Dalo
mere jugnu
kabhi school mein ye mat batana
ki hun mazdur ka beTa
wagarna sare bachche bojh baston ka
tumhaare kandhon kandhon gaDenge
mere wo KHwab jo main ne
tumhaare zard mathe par bune hain
unhen ghar aane se pahle udheDenge
mere beTe mere jugnu
talluq ab bujha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.