talluq toDne wale
baras bhar kī ḳhushī ke ham ne kuchh naqshe banā.e the
bhare the un meñ kaise kaise dil-kash rañg
abhī vo rañg sūkhe bhī na the bārish ne aa gherā
vo naqshe ho ga.e bad-rañg
kahāñ se yak-ba-yak barse ye patthar
ki ḳhvāboñ kī har ik khiḌkī ke shīshe chuur kar Daale
kahāñ se tezī-o-tundī bharī ye sho.alagī aa.ī
ki jis ne aarzū o shauq kī zanjīr pighlā.ī
abhī to ārzū-e-vasl ne donoñ diloñ meñ ghar basāyā thā
abhī is hijr ke Dar ne use be-daḳhl kar Daalā
abhī āzādi-e-jism-o-dil-o-jāñ kā tarāna ham ne chheḌā thā
abhī kas ne tumhāre dil pe phir phūñkā vahī mantar
ki tum insāñ nahīñ ho ik samājī jānvar ho tum
tumheñ rasmoñ kā qānūnoñ kā bhārī bojh Dhonā hai
numā.ish ke kasī rishte kī ḳhātir hañsnā ronā hai
na insāñ ho na haivāñ ho samājī jānvar ho tum
samājī jānvar ho tum
baras bhar ki KHushi ke hum ne kuchh naqshe banae the
bhare the un mein kaise kaise dil-kash rang
abhi wo rang sukhe bhi na the barish ne aa ghera
wo naqshe ho gae bad-rang
kahan se yak-ba-yak barse ye patthar
ki KHwabon ki har ek khiDki ke shishe chur kar Dale
kahan se tezi-o-tundi bhari ye shoalagi aai
ki jis ne aarzu o shauq ki zanjir pighlai
abhi to aarzu-e-wasl ne donon dilon mein ghar basaya tha
abhi is hijr ke Dar ne use be-daKHl kar Dala
abhi aazadi-e-jism-o-dil-o-jaan ka tarana hum ne chheDa tha
abhi kas ne tumhaare dil pe phir phunka wahi mantar
ki tum insan nahin ho ek samaji jaanwar ho tum
tumhein rasmon ka qanunon ka bhaari bojh Dhona hai
numaish ke kasi rishte ki KHatir hansna rona hai
na insan ho na haiwan ho samaji jaanwar ho tum
samaji jaanwar ho tum
- Book : shab-khoon-shumara-number-16 (Pg. 22)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.