tamil-e-wafa ka ahd-nama
Interesting Fact
lisaani fasaadaat se mota.assir ho kar likhii gaii
ḳhāmosh haiñ sāhibān-e-munsif
hairān haiñ rahbarān-e-muḳhlis
lāshoñ kā koī vatan nahīñ hai
murdoñ kī koī zabāñ nahīñ hai
ujḌe hue ghar kī ḳhāmushī meñ
nauhe kī nidā.eñ ek sī haiñ
mātam kā hai lahja ek jaisā
rone kī sadā.eñ ek sī haiñ
āñkhoñ kī siyāhiyāñ haiñ maddham
palkoñ kī qalam hai pāra-pāra
ḳhūnāb huā hai mus.haf-e-ruḳh
hoñToñ ke haiñ dā.ere shikasta
chehre kī kitāb ke varaq par!
zaḳhmoñ ne jo hāshiye likhe haiñ
in sab kī zabāñ hai ek jaisī
vo sab kī samajh meñ aa ga.e haiñ
ik pal ke liye shab-e-alam meñ
chamkeñge tasalliyoñ ke aañsū
kuchh der darīda-dāmanoñ meñ!
mahkegī satā.ishoñ kī ḳhushbū
phir ḳhaak kī jild meñ chhupegā
ta.amīl-e-vafā kā ahd-nāma!
mil jā.eñgī vārisoñ ko yādeñ
ho jā.egā qāfila ravāna
KHamosh hain sahiban-e-munsif
hairan hain rahbaran-e-muKHlis
lashon ka koi watan nahin hai
murdon ki koi zaban nahin hai
ujDe hue ghar ki KHamushi mein
nauhe ki nidaen ek si hain
matam ka hai lahja ek jaisa
rone ki sadaen ek si hain
aankhon ki siyahiyan hain maddham
palkon ki qalam hai para-para
KHunab hua hai mushaf-e-ruKH
honTon ke hain daere shikasta
chehre ki kitab ke waraq par!
zaKHmon ne jo hashiye likhe hain
in sab ki zaban hai ek jaisi
wo sab ki samajh mein aa gae hain
ek pal ke liye shab-e-alam mein
chamkenge tasalliyon ke aansu
kuchh der darida-damanon mein!
mahkegi sataishon ki KHushbu
phir KHak ki jild mein chhupega
tamil-e-wafa ka ahd-nama!
mil jaengi warison ko yaaden
ho jaega qafila rawana
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.