maqsad ko na pāband-e-taqdīr karo yaaro
ta.amīr-e-gulistāñ kī tadbīr karo yaaro
kirdār meñ yuuñ paidā tāsīr karo yaaro
har ḳhaak ke zarre ko tasḳhīr karo yaaro
tum raah meñ ho ab tak manzil pe nahīñ pahoñche
rāhoñ ko na manzil se ta.abīr karo yaaro
jab rahbar-o-rahzan meñ ho saktī hai sāzish bhī
phir raah meñ kyoñ itnī tāḳhīr karo yaaro
shāyad abhī kuchh goshe muhtāj-e-ta.āruf haiñ
qur.ān-e-mohabbat kī tafsīr karo yaaro
maazī kī har ik talḳhī tum dil se bhulā Daalo
tārīḳh na.ī apnī tahrīr karo yaaro
insāñ kī bulandī hai aapas kī mohabbat meñ
dil dil se mileñ aisī tadbīr karo yaaro
ye jannat-e-duniyā to dozaḳh huī jaatī hai
ab aur koī jannat ta.amīr karo yaaro
jo kuchh rah-e-ulfat meñ 'takmīl' pe guzrī hai
afsāna-dar-afsāna tahrīr karo yaaro
maqsad ko na paband-e-taqdir karo yaro
tamir-e-gulistan ki tadbir karo yaro
kirdar mein yun paida tasir karo yaro
har KHak ke zarre ko tasKHir karo yaro
tum rah mein ho ab tak manzil pe nahin pahonche
rahon ko na manzil se tabir karo yaro
jab rahbar-o-rahzan mein ho sakti hai sazish bhi
phir rah mein kyon itni taKHir karo yaro
shayad abhi kuchh goshe muhtaj-e-taaruf hain
quran-e-mohabbat ki tafsir karo yaro
mazi ki har ek talKHi tum dil se bhula Dalo
tariKH nai apni tahrir karo yaro
insan ki bulandi hai aapas ki mohabbat mein
dil dil se milen aisi tadbir karo yaro
ye jannat-e-duniya to dozaKH hui jati hai
ab aur koi jannat tamir karo yaro
jo kuchh rah-e-ulfat mein 'takmil' pe guzri hai
afsana-dar-afsana tahrir karo yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.