tamir-e-nau
aao sab mil ke na.e mulk kī ta.amīr kareñ
sar-buland apne buzurgoñ kī ye jāgīr kareñ
ḳhūn-e-insāf na ho dil meñ kahīñ jhuuT na ho
ektā rishtoñ meñ ho buġhz na ho phuuT na ho
jam.a-ḳhorī na ho mahñgā.ī na ho luuT na ho
sabhī firqoñ ko yuuñ office meñ baġhal-gīr kareñ
āshtī amn kahīñ bhañg na hone paa.e
pyaar kā rang ye bad-rang na hone paa.e
ḳhaar ke hāthoñ kalī tang na hone paa.e
kārgar ahl-e-mohabbat hoñ ye tadbīr kareñ
koī beva na ho sindūr na ujḌe koī
maañ kī mamtā kī bhī tasvīr na bigḌe koī
kisī bahan se javāñ bhaa.ī na bichhḌe koī
jang ko amn ke hathiyār se tasḳhīr kareñ
ruup bigḌe na koī aarzū nākām na ho
aabrū muflis-o-nādār kī nīlām na ho
chand TukḌoñ ke liye zindagī badnām na ho
dard mushtarka hai mushtarka hī tadbīr kareñ
aao sab mil ke nae mulk ki tamir karen
sar-buland apne buzurgon ki ye jagir karen
KHun-e-insaf na ho dil mein kahin jhuT na ho
ekta rishton mein ho bughz na ho phuT na ho
jama-KHori na ho mahngai na ho luT na ho
sabhi firqon ko yun office mein baghal-gir karen
aashti amn kahin bhang na hone pae
pyar ka rang ye bad-rang na hone pae
KHar ke hathon kali tang na hone pae
kargar ahl-e-mohabbat hon ye tadbir karen
koi bewa na ho sindur na ujDe koi
man ki mamta ki bhi taswir na bigDe koi
kisi bahan se jawan bhai na bichhDe koi
jang ko amn ke hathiyar se tasKHir karen
rup bigDe na koi aarzu nakaam na ho
aabru muflis-o-nadar ki nilam na ho
chand TukDon ke liye zindagi badnam na ho
dard mushtarka hai mushtarka hi tadbir karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.