tamir
apne siine meñ dabā.e hue lākhoñ sho.ale
shabnam o barf ke naġhmāt sunā.e maiñ ne
ziist ke nauha-e-paiham se churā kar āñkheñ
giit jo gā na sake koī vo gaa.e maiñ ne
aaj tashbīh-o-kināyāt kā dil TuuT gayā
aaj maiñ jo bhī kahūñgā vo haqīqat hogī
aañch lahrā.egī har buuñd se paimāne kī
mere saa.e ko mirī shakl se vahshat hogī
ġham-e-daurāñ ne ġham-e-dil kā sukūñ chhīn liyā
ab tire pyaar meñ bhī pyaar ke andāz nahīñ
shauq ke qil.a-e-tārīk meñ hai sannāTā
koī āvāz nahīñ koī bhī āvāz nahīñ
kaise samjhā.ūñ ki ulfat hī nahīñ hāsil-e-umr
hāsil-e-umr is ulfat kā mudāvā bhī to hai
zindagī hasrat-e-ḳhas-ḳhāna-o-barfāb sahī
kuchh dahakte hue sho.aloñ kī tamannā bhī to hai
tū mirā ḳhvāb hai ādarsh hai lekin mujh ko
tere is qasr-e-tarab-nāk se jaanā hogā
aag aur ḳhuun ugalte hue sayyāre ko
phir tirā qasr-e-tarab-nāk banānā hogā
apne sine mein dabae hue lakhon shoale
shabnam o barf ke naghmat sunae main ne
zist ke nauha-e-paiham se chura kar aankhen
git jo ga na sake koi wo gae main ne
aaj tashbih-o-kinayat ka dil TuT gaya
aaj main jo bhi kahunga wo haqiqat hogi
aanch lahraegi har bund se paimane ki
mere sae ko meri shakl se wahshat hogi
gham-e-dauran ne gham-e-dil ka sukun chhin liya
ab tere pyar mein bhi pyar ke andaz nahin
shauq ke qila-e-tarik mein hai sannaTa
koi aawaz nahin koi bhi aawaz nahin
kaise samjhaun ki ulfat hi nahin hasil-e-umr
hasil-e-umr is ulfat ka mudawa bhi to hai
zindagi hasrat-e-KHas-KHana-o-barfab sahi
kuchh dahakte hue shoalon ki tamanna bhi to hai
tu mera KHwab hai aadarsh hai lekin mujh ko
tere is qasr-e-tarab-nak se jaana hoga
aag aur KHun ugalte hue sayyare ko
phir tera qasr-e-tarab-nak banana hoga
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 90)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.