tamiri taKHrib
sub.h ke rangīñ laboñ par hai tabassum kī jhalak
gul matā.a-e-zar nichhāvar karte haiñ kaliyāñ mahak
letī hai añgḌā.iyāñ ġhunchoñ ke pahlū meñ hayāt
karvaToñ par karvaTeñ letī hai rūh-e-kā.enāt
narm-o-nāzuk tābishoñ se zau-fagan hai āftāb
āsmāñ kā matl.a-e-rangīñ hai mahrūm-e-sahāb
be-takalluf haiñ nazar ke sāmne dīvār-o-dar
panja-e-ḳhurshīd se TukḌe hai dāmān-e-sahar
apnī majbūrī pe ahl-e-bāġh ne sar dhun liye
mahr ne kirnoñ kī nakchoTī se motī chun liye
ye samāñ hai maiñ huuñ aur lahore kā lawrence baaġh
gasht meñ haiñ maġhribī tahzīb ke chashm-o-charāg
paikar-e-sharm-o-hayā sharm-o-hayā se duur hai
sīna-e-aḳhlāq meñ ristā huā nāsūr hai
hai zamīñ par is tarah qāmat ke saaye kā nishāñ
āsmāñ par jis tarah ho pāra-e-abr-e-ravāñ
saaye meñ yuuñ dast-o-pā ke muztarib thī raushnī
ā.ina-bāzī meñ ho masrūf jaise tīrgī
jamparoñ kī aisī hai kuchh niim uryāñ sī tarāsh
nāḳhun-e-taḳhrīb kī hai qalb-e-fitrat par ḳharāsh
chal rahī haiñ shoḳhiyoñ kī rau meñ iThlātī huī
har qadam par be-zarī kī laash Thukrātī huī
sādgī ruḳh par kahāñ zauq-e-nazar kī bhuul hai
ye vo tevar hai ki har andāz meñ maqbūl hai
zāhirī sūrat dilī-jazbāt kī tasvīr hai
bahkī bahkī sī nazar bebāk sī taqrīr hai
ye muraqqā hai agar 'naḳhshab' na.ī tahzīb kā
rang aatā hai nazar ta.amīr meñ taḳhrīb kā
subh ke rangin labon par hai tabassum ki jhalak
gul mataa-e-zar nichhawar karte hain kaliyan mahak
leti hai angDaiyan ghunchon ke pahlu mein hayat
karwaTon par karwaTen leti hai ruh-e-kaenat
narm-o-nazuk tabishon se zau-fagan hai aaftab
aasman ka matla-e-rangin hai mahrum-e-sahab
be-takalluf hain nazar ke samne diwar-o-dar
panja-e-KHurshid se TukDe hai daman-e-sahar
apni majburi pe ahl-e-bagh ne sar dhun liye
mahr ne kirnon ki nakchoTi se moti chun liye
ye saman hai main hun aur lahore ka lawrence bagh
gasht mein hain maghribi tahzib ke chashm-o-charag
paikar-e-sharm-o-haya sharm-o-haya se dur hai
sina-e-aKHlaq mein rista hua nasur hai
hai zamin par is tarah qamat ke saye ka nishan
aasman par jis tarah ho para-e-abr-e-rawan
saye mein yun dast-o-pa ke muztarib thi raushni
aaina-bazi mein ho masruf jaise tirgi
jamparon ki aisi hai kuchh nim uryan si tarash
naKHun-e-taKHrib ki hai qalb-e-fitrat par KHarash
chal rahi hain shoKHiyon ki rau mein iThlati hui
har qadam par be-zari ki lash Thukraati hui
sadgi ruKH par kahan zauq-e-nazar ki bhul hai
ye wo tewar hai ki har andaz mein maqbul hai
zahiri surat dili-jazbaat ki taswir hai
bahki bahki si nazar bebak si taqrir hai
ye muraqqa hai agar 'naKHshab' nai tahzib ka
rang aata hai nazar tamir mein taKHrib ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.