tar ghar
imārat ke bāhar
abhī bhī shikasta sā ik board hai
jis ko kuchh rang ne
itnā be-rañg kar diyā hai
ki ab us ke alfāz ko ek andāza bhar se hī paḌhte haiñ ham
imārat batātī hai
pahle kabhī shaan thī
is ke dīvār-o-dar kī baḌī aan thī
ab magar
ek muddat se koī na aayā idhar
ab ḳhushī aur ġham
taar baabū ke hāthoñ se ho kar guzarte nahīñ
dil dhaḌakte nahīñ dil larazte nahīñ
ab yahāñ ḳhaak uḌtī hai bas gard hī gard hai
aur mujhe is imārat ke vīrāne-pan kā bahut dard hai
imarat ke bahar
abhi bhi shikasta sa ek board hai
jis ko kuchh rang ne
itna be-rang kar diya hai
ki ab us ke alfaz ko ek andaza bhar se hi paDhte hain hum
imarat batati hai
pahle kabhi shan thi
is ke diwar-o-dar ki baDi aan thi
ab magar
ek muddat se koi na aaya idhar
ab KHushi aur gham
tar babu ke hathon se ho kar guzarte nahin
dil dhaDakte nahin dil larazte nahin
ab yahan KHak uDti hai bas gard hi gard hai
aur mujhe is imarat ke virane-pan ka bahut dard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.