tare
ākāsh ke niile manDal par jo tāroñ kī gul-kārī hai
saj us kī kyā man-levā hai dhaj kaisī pyārī pyārī hai
aur kāhkashāñ jo biich meñ hai vo phūloñ kī phulvārī hai
kyā nikhrā nikhrā gulshan hai kyā pyārī pyārī kyārī hai
tasnīm nikal kar kausar se firdaus ke andar saarī hai
yā samjho duudh batāshoñ kī ākās pe gangā jaarī hai
aur taare jab is sāgar par kuchh hañste hañste aate haiñ
muñh nuur se apnā dhote haiñ aur ḳhāliq ke gun gaate haiñ
kyā jagmag jagmag kartī haiñ qindīleñ in mah-pāroñ kī
kyā jot jhalā-jhal hotī hai in sundar ruup sitāroñ kī
mat daane dunke jaan inheñ ye haaT nahīñ banjāroñ kī
ye hiire jham jham karte haiñ mat buujh chitā angāroñ kī
kyā nuurī nuurī mash.al haiñ in pyāre pyāre tāroñ kī
kyā jhilmil jhilmil kartī haiñ fānuseñ shab-bedāroñ kī
kyā ruup anuup muzayyan hai jo mahfil ko dikhlāte haiñ
jhumkā kā rang shabistāñ kā sab ḳhāliq ke gun gaate haiñ
aakash ke nile manDal par jo taron ki gul-kari hai
saj us ki kya man-lewa hai dhaj kaisi pyari pyari hai
aur kahkashan jo bich mein hai wo phulon ki phulwari hai
kya nikhra nikhra gulshan hai kya pyari pyari kyari hai
tasnim nikal kar kausar se firdaus ke andar sari hai
ya samjho dudh batashon ki aakas pe ganga jari hai
aur tare jab is sagar par kuchh hanste hanste aate hain
munh nur se apna dhote hain aur KHaliq ke gun gate hain
kya jagmag jagmag karti hain qindilen in mah-paron ki
kya jot jhala-jhal hoti hai in sundar rup sitaron ki
mat dane dunke jaan inhen ye haT nahin banjaron ki
ye hire jham jham karte hain mat bujh chita angaron ki
kya nuri nuri mashal hain in pyare pyare taron ki
kya jhilmil jhilmil karti hain fanusen shab-bedaron ki
kya rup anup muzayyan hai jo mahfil ko dikhlate hain
jhumka ka rang shabistan ka sab KHaliq ke gun gate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.