Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarik pahlu

Izhar Asar

tarik pahlu

Izhar Asar

MORE BYIzhar Asar

    mirī dastaras meñ sitāre bhī sūraj bhī aur kahkashāñ bhī

    mirī dastaras meñ havā.eñ bhī tūfān bhī bijliyāñ bhī

    mirī dastaras meñ samundar bhī sahrā bhī kohsār bhī gulsitāñ bhī

    mirī dastaras meñ bahāreñ bhī mausam bhī qaus-e-quzah bhī

    mirī dastaras meñ guloñ mahak bhī hai kaliyoñ ra.anā.iyāñ bhī

    mirī dastaras meñ nam-ālūd hoñToñ doshīzgī bhī javāñ marmarīñ jism tishnagī bhī

    mirī dastaras meñ tamannāoñ ke marhale bhī shab-e-vasl ke silsile bhī

    mirī dastaras meñ azā.em bhī jur.at bhī īqān bhī hausle bhī

    magar mujh mahrūm bhī koī hogā

    har ik shai mirī dastaras meñ

    magar mere hāthoñ meñ jumbish tāqat nahīñ hai

    agar vo na chāhe

    yahī mere insān hone tārīk pahlū hai shāyad

    meri dastaras mein sitare bhi suraj bhi aur kahkashan bhi

    meri dastaras mein hawaen bhi tufan bhi bijliyan bhi

    meri dastaras mein samundar bhi sahra bhi kohsar bhi gulsitan bhi

    meri dastaras mein bahaaren bhi mausam bhi qaus-e-quzah bhi

    meri dastaras mein gulon ki mahak bhi hai kaliyon ki ranaiyan bhi

    meri dastaras mein nam-alud honTon ki doshizgi bhi jawan marmarin jism ki tishnagi bhi

    meri dastaras mein tamannaon ke marhale bhi shab-e-wasl ke silsile bhi

    meri dastaras mein azaem bhi jurat bhi iqan bhi hausle bhi

    magar mujh sa mahrum bhi koi hoga

    har ek shai meri dastaras mein

    magar mere hathon mein jumbish ki taqat nahin hai

    agar wo na chahe

    yahi mere insan hone ka tarik pahlu hai shayad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now