tariKH-dan se
qadīm duniyā kā pahlā qātil
qābīl
hamesha yaad rakhā jā.egā
sunā hai
pahlī baar jab koī nayā kaam kartā hai
to vo usī ke naam se hamesha ke liye
mansūb ho jaatā hai
to pyaar
pahlī baar mohabbat kis ne kī hogī
kyā aadam aur havvā ne
nahīñ nahīñ
vo mohabbat nahīñ
vo to ḳhatā thī
hudūd se tajāvuz thā
yā shāyad tajassus
qadīm duniyā ke tārīḳh-dān
batā ki
pahlī baar mohabbat kis ne kī thī
koī naam darj nahīñ nā tārīḳh meñ
tārīḳh hamesha chun chun kar burī bātoñ kā hī record kyoñ rakhtī hai
tārīḳh ke safhoñ par itne phuul nahīñ jitnā lahū hai
so ab na.ī tārīḳh likhī jaa.e
aur us meñ merā naam darj kiyā jaa.e
jis ne pahlī baar mohabbat kī
qadim duniya ka pahla qatil
qabil
hamesha yaad rakha jaega
suna hai
pahli bar jab koi naya kaam karta hai
to wo usi ke nam se hamesha ke liye
mansub ho jata hai
to pyar
pahli bar mohabbat kis ne ki hogi
kya aadam aur hawwa ne
nahin nahin
wo mohabbat nahin
wo to KHata thi
hudud se tajawuz tha
ya shayad tajassus
qadim duniya ke tariKH-dan
bata ki
pahli bar mohabbat kis ne ki thi
koi nam darj nahin na tariKH mein
tariKH hamesha chun chun kar buri baaton ka hi record kyon rakhti hai
tariKH ke safhon par itne phul nahin jitna lahu hai
so ab nai tariKH likhi jae
aur us mein mera nam darj kiya jae
jis ne pahli bar mohabbat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.