tariKH ek KHamosh zamana
Interesting Fact
Dedicated to Intizar Hussain
ye saaTh sadī kā qissa hai
ye saaTh baras kī baat nahīñ
tārīḳh ne jab āñkheñ kholīñ
sab paanī thā
phir paanī par tasvīr banī
tasvīr zamīñ par phail ga.ī
aur us par bārish TuuT paḌī
ik biij kahīñ par
saaTh sadī kī aahaT se bedār huā
jañgal ban kar phail gayā
vahīñ kahīñ par maiñ bhī thā
tum bhī thiiñ
tārīḳh ne dastak dī thī
tārīḳh utrī thī dhartī par
vo raat thī pūran-māshī kī
phir dhartī hī tārīḳh banī
tārīḳh koī bandar to nahīñ
tārīḳh koī chehra to nahīñ
tārīḳh to ek samundar hai
jo pūran-māshī kī rātoñ meñ
pāgal ho kar phailtā hai
aur sab ko bahā le jaatā hai
tārīḳh koī ḳhāmosh zamāna hotā hai
jo sadiyoñ tak mausam kī god meñ sotā hai
phir karvaT le kar jāgtā hai
aisā mujh ko
'gautam-budh' ne gyaan samay samjhāyā thā
aur ye to mujh se āḳhirī aadmī ne pūchā thā
are miyāñ kis khūñT chale ho
Thahro
ye saaTh sadī kā qissa hai
kuchh aur nahīñ hai
aur mere andar to un sadiyoñ kī vo guuñj basī hai
jo aglī kitnī sadiyoñ tak
pūran-māshī kī rātoñ meñ
āvāz banegī
ye saaTh sadī kā qissa hai
kuchh aur nahīñ hai
mere andar saaTh sadī kī guuñj basī hai
maiñ aur tum is guuñj meñ gyaan kināre
aa kar baiTh ga.e the
tārīḳh ne jab is dhartī par bisrām kiyā
jab qissa-go kī lorī meñ ham sote the
aur chiḌiyoñ kī chahkār meñ āñkheñ kholte the
mausam ke mizāj meñ rachī huī bātoñ meñ
amrit gholte the
yahīñ kahīñ par ham tum
'mīr' aur 'mīrā' ke dukh dil meñ album karte the
vo dukh tandūr kī roTī meñ pak jaate the
merī aur tumhārī maañ
vo roTī apne dil ke tandūr se laatī thī
phir bhuuk hamārī pahle se baḌh jaatī thī
maiñ aur tum tārīḳh ke biij se phūTeñge
aur 'gautam-budh' ke jañgal jaisī umr meñ Dhal jā.eñge
ye saTh sadi ka qissa hai
ye saTh baras ki baat nahin
tariKH ne jab aankhen kholin
sab pani tha
phir pani par taswir bani
taswir zamin par phail gai
aur us par barish TuT paDi
ek bij kahin par
saTh sadi ki aahaT se bedar hua
jangal ban kar phail gaya
wahin kahin par main bhi tha
tum bhi thin
tariKH ne dastak di thi
tariKH utri thi dharti par
wo raat thi puran-mashi ki
phir dharti hi tariKH bani
tariKH koi bandar to nahin
tariKH koi chehra to nahin
tariKH to ek samundar hai
jo puran-mashi ki raaton mein
pagal ho kar phailta hai
aur sab ko baha le jata hai
tariKH koi KHamosh zamana hota hai
jo sadiyon tak mausam ki god mein sota hai
phir karwaT le kar jagta hai
aisa mujh ko
'gautam-budh' ne gyan samay samjhaya tha
aur ye to mujh se aaKHiri aadmi ne pucha tha
are miyan kis khunT chale ho
Thahro
ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
aur mere andar to un sadiyon ki wo gunj basi hai
jo agli kitni sadiyon tak
puran-mashi ki raaton mein
aawaz banegi
ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
mere andar saTh sadi ki gunj basi hai
main aur tum is gunj mein gyan kinare
aa kar baiTh gae the
tariKH ne jab is dharti par bisram kiya
jab qissa-go ki lori mein hum sote the
aur chiDiyon ki chahkar mein aankhen kholte the
mausam ke mizaj mein rachi hui baaton mein
amrit gholte the
yahin kahin par hum tum
'mir' aur 'mira' ke dukh dil mein album karte the
wo dukh tandur ki roTi mein pak jate the
meri aur tumhaari man
wo roTi apne dil ke tandur se lati thi
phir bhuk hamari pahle se baDh jati thi
main aur tum tariKH ke bij se phuTenge
aur 'gautam-budh' ke jangal jaisi umr mein Dhal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.