Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tariKH ka ek waraq

Sahba lakhnavi

tariKH ka ek waraq

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    sarhad-e-pāk par

    sabz parcham fazāoñ meñ lahrā rahā hai

    javānān-e-millat ke

    ehsās-o-jazbe ko garmā rahā hai

    ye merā vatan hai mirī sarzamīñ hai

    jise maiñ ne apne lahū

    harārat se naġhme lai

    ruuh tāzgī sarḳhushī

    chāñd raushnī dilkashī

    ishq valvala husn bāñkpan

    azm puḳhtagī baḳhsh hai

    mujhe yaad hai

    āzmā.ish ḳhūnī ghaḌī

    rauñdne aa.ī thī

    apne nāpāk qadmoñ se arz-e-vatan

    ek dīvār faulād-o-āhan se Takrā.ī jab

    sard lāshoñ ke ambār us muqaddar bane

    aur tārīḳh faisla ho gayā

    ye merā vatan

    jis tārīḳh har varaq

    jāñ-nisāroñ jiyāloñ javānoñ

    rasm-e-shujā.at ik dāstāñ hai

    jise aane vaalī na.ī nasl dohrā.egī

    yahī zinda qaumoñ tārīḳh hai

    jis ne har daur meñ

    sarfaroshī shahādat vatan mohabbat ko

    unvāñ banā kar

    na.e ahd dāstāñ ko mukammal kiyā hai

    yahī merī tārīḳh ik varaq hai

    jise kal bhī maiñ ne likhā thā

    aaj bhī likh rahā huuñ

    jise aane vaale zamāne

    har naujavāñ garm ḳhuuñ se likhegā

    sarhad-e-pak par

    sabz parcham fazaon mein lahra raha hai

    jawanan-e-millat ke

    ehsas-o-jazbe ko garma raha hai

    ye mera watan hai meri sarzamin hai

    jise main ne apne lahu ki

    hararat se naghme ki lai

    ruh ki tazgi sarKHushi

    chand ki raushni dilkashi

    ishq ka walwala husn ka bankpan

    azm ki puKHtagi baKHsh di hai

    mujhe yaad hai

    aazmaish ki KHuni ghaDi

    raundne aai thi

    apne napak qadmon se arz-e-watan

    ek diwar faulad-o-ahan se Takrai jab

    sard lashon ke ambar us ka muqaddar bane

    aur tariKH ka faisla ho gaya

    ye mera watan

    jis ki tariKH ka har waraq

    jaan-nisaron jiyalon jawanon ki

    rasm-e-shujaat ki ek dastan hai

    jise aane wali nai nasl dohraegi

    yahi zinda qaumon ki tariKH hai

    jis ne har daur mein

    sarfaroshi shahadat watan ki mohabbat ko

    unwan bana kar

    nae ahd ki dastan ko mukammal kiya hai

    yahi meri tariKH ka ek waraq hai

    jise kal bhi main ne likha tha

    aaj bhi likh raha hun

    jise aane wale zamane ka

    har naujawan garm KHun se likhega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now