tariKH ka nauha
shāhoñ ko ḳhabar nahīñ ho sakī
ki bulldozeroñ se haTā.ī ga.ī mayyatoñ kī Dher meñ
kis kis ke ehrām par lahū ne āyateñ raqam kiiñ
hājiyoñ kī jam.a pūñjī se munāfe.a baTortī hukūmateñ
āb-e-zam-zam ke chashme aur petrol ke kueñ meñ
tamīz karnā bhuul jaa.eñ
to ḳhuun kī lakīr haram se nikal kar minā tak pahuñch jaatī hai
shāhī farmān ko ibādat kā darja dene vaale
muftiyoñ ne ye kabhī nahīñ dekhā
ki tārīḳh ka.ī baar taḳht ko taḳhta bante hue dekh chukī hai
shaitān ko patthar mārtā huā hujūm
apne aap ko rauñd kar ḳhaak meñ mil jaatā hai
aur mansūr anal-haq kah kar har daur meñ amar hotā rahā
ḳhudā
nadāmat ke aañsū rone vāloñ ko
muaaf karne meñ der nahīñ kartā
aur shaitān intiqām lenā nahīñ bhūltā
lekin ham bhuul jaate haiñ
ki mehrāb masjid ke hoñ yā māthoñ ke
nekiyoñ aur badiyoñ kā hisāb sirf ḳhudā ke paas hai
gin gin kar patthar mārne vaale
un kañkaroñ kī gintī bhuul chuke haiñ
jo abābīloñ ne hāthiyoñ par girā.e the
shahon ko KHabar nahin ho saki
ki bulldozeron se haTai gai mayyaton ki Dher mein
kis kis ke ehram par lahu ne aayaten raqam kin
hajiyon ki jama punji se munafea baTorti hukumaten
aab-e-zam-zam ke chashme aur petrol ke kuen mein
tamiz karna bhul jaen
to KHun ki lakir haram se nikal kar mina tak pahunch jati hai
shahi farman ko ibaadat ka darja dene wale
muftiyon ne ye kabhi nahin dekha
ki tariKH kai bar taKHt ko taKHta bante hue dekh chuki hai
shaitan ko patthar marta hua hujum
apne aap ko raund kar KHak mein mil jata hai
aur mansur anal-haq kah kar har daur mein amar hota raha
KHuda
nadamat ke aansu rone walon ko
muaf karne mein der nahin karta
aur shaitan intiqam lena nahin bhulta
lekin hum bhul jate hain
ki mehrab masjid ke hon ya mathon ke
nekiyon aur badiyon ka hisab sirf KHuda ke pas hai
gin gin kar patthar marne wale
un kankaron ki ginti bhul chuke hain
jo ababilon ne hathiyon par girae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.