tariKH ki adalat
hamāre idrāk kī sadāqat
tumhāre ilzām kī najābat
kabhī to tārīḳh kī adālat meñ pesh hogī
halaf uThāne kī rasm se be-niyāz lamhe
tamām maflūj adl-gāhoñ kī maslahat-kesh-be-zabāni
lahū-faroshī ke kul dalā.el
dafātir-e-munsifī par tahrīr kar rahe haiñ
kabhī to tārīḳh kī adālat meñ
tum bhī aaoge
ham bhī ā.eñge
tum apne saare halīf laanā
qasīda-ḳhvānoñ kā majma.a-e-be-zamīr laanā
ḳhamīda-sar maslahat-pasandī ke zahr-ālūd tiir laanā
tum apnī māñgī huī shikasta sī teġh laanā
salīb laanā
aziyyatoñ ke nisāb laanā
har ek maqtal meñ dafn sho.aloñ kī raakh laanā
har ek pusht-e-bashar pe tahrīr vahshatoñ kī lakīr laanā
kabhī to tārīḳh kī adālat meñ
tum bhī aaoge ham bhī ā.eñge
ham apne hamrāh zinda lafzoñ ke phuul le kar
har ek dāman kī dhajjiyoñ kī dhanak meñ
poshīda zindagī ke usuul le kar
hazār-hā sar-kashīda kirnoñ kā nuur le kar
tamām bahnoñ ke āñchaloñ kā vaqār le kar
tamām maaoñ kī loriyoñ kā mazār le kar
yatīm palkoñ kī shabnamī ārzūoñ kā soz le kar
ham apnī un beTiyoñ kī māñgoñ kā husn le kar
ki jin kī sindūr ko khurach kar
tum aaj bārūd kī surañgeñ bichhā rahe ho
ham apnī dhartī ke zarre zarre meñ
sho.ala-afshāñ jalāl le kar
zarūr ā.eñge
jald ā.eñge
vo daur ab duur to nahīñ hai
ki vaqt jab munsifī karegā
kabhī to tārīḳh kī adālat meñ
tum bhī aaoge
ham bhī ā.eñge
hamare idrak ki sadaqat
tumhaare ilzam ki najabat
kabhi to tariKH ki adalat mein pesh hogi
halaf uThane ki rasm se be-niyaz lamhe
tamam mafluj adl-gahon ki maslahat-kesh-be-zabani
lahu-faroshi ke kul dalael
dafatir-e-munsifi par tahrir kar rahe hain
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge
hum bhi aaenge
tum apne sare halif lana
qasida-KHwanon ka majma-e-be-zamir lana
KHamida-sar maslahat-pasandi ke zahr-alud tir lana
tum apni mangi hui shikasta si tegh lana
salib lana
aziyyaton ke nisab lana
har ek maqtal mein dafn shoalon ki rakh lana
har ek pusht-e-bashar pe tahrir wahshaton ki lakir lana
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge hum bhi aaenge
hum apne hamrah zinda lafzon ke phul le kar
har ek daman ki dhajjiyon ki dhanak mein
poshida zindagi ke usul le kar
hazar-ha sar-kashida kirnon ka nur le kar
tamam bahnon ke aanchalon ka waqar le kar
tamam maon ki loriyon ka mazar le kar
yatim palkon ki shabnami aarzuon ka soz le kar
hum apni un beTiyon ki mangon ka husn le kar
ki jin ki sindur ko khurach kar
tum aaj barud ki surangen bichha rahe ho
hum apni dharti ke zarre zarre mein
shoala-afshan jalal le kar
zarur aaenge
jald aaenge
wo daur ab dur to nahin hai
ki waqt jab munsifi karega
kabhi to tariKH ki adalat mein
tum bhi aaoge
hum bhi aaenge
- Book : Pakistani Adab (Pg. 136)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.