tariKH yahi kahti hai
ye jo kahā jaatā hai bhaa.ī
ishq bhī tolā jaatā hai
sach hai ye qaul bhī
vaise to tārīḳh bhī
apne aap ko dohrātī hai
jāñch meñ
sachchā utrā hai jab koī
phir to vahī sādiq kahlātā hai
tārīḳh yahī kahtī hai
ishq meñ
aag ke
Dheroñ par leTā jaatā hai
jis kī ḳhātir
apne bachche kī gardan pe
chhurī bhī pherī jaatī hai
tārīḳh yahī kahtī hai
ishq meñ
kuudā bhī jaatā hai
samundar meñ
aur jis kī ḳhātir
peT meñ machhlī ke
phir utrā jaatā hai
tārīḳh yahī kahtī hai
ishq meñ
jismoñ ko bhī ḳhuuñ se
rangīn kiyā jaatā hai
bhuuk satātī hai jab bhī
to phir peT pe
patthar bhī bāñdhā jaatā hai
ishq meñ
ghar ko bhī kangāl kiyā jaatā hai
jaltī ret pe bhī
leTā jaatā hai
phir siine par
garm chaTTān ko bhī to
sahnā paḌtā hai
tārīḳh yahī kahtī hai
ishq meñ
aksar bhūkā pyāsā rah kar
denī paḌtī hai qurbānī maqtal meñ
ye jo kaha jata hai bhai
ishq bhi tola jata hai
sach hai ye qaul bhi
waise to tariKH bhi
apne aap ko dohraati hai
jaanch mein
sachcha utra hai jab koi
phir to wahi sadiq kahlata hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
aag ke
Dheron par leTa jata hai
jis ki KHatir
apne bachche ki gardan pe
chhuri bhi pheri jati hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
kuda bhi jata hai
samundar mein
aur jis ki KHatir
peT mein machhli ke
phir utra jata hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
jismon ko bhi KHun se
rangin kiya jata hai
bhuk satati hai jab bhi
to phir peT pe
patthar bhi bandha jata hai
ishq mein
ghar ko bhi kangal kiya jata hai
jalti ret pe bhi
leTa jata hai
phir sine par
garm chaTTan ko bhi to
sahna paDta hai
tariKH yahi kahti hai
ishq mein
aksar bhuka pyasa rah kar
deni paDti hai qurbani maqtal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.