tashqand ki sham
manāo jashn-e-mohabbat ki ḳhuuñ kī bū na rahī
baras ke khul ga.e bārūd ke siyah bādal
bujhī bujhī sī hai jañgoñ kī āḳhirī bijlī
mahak rahī hai gulāboñ se tāshqand kī shaam
jagāo gesū-e-jānāñ kī ambarīñ rāteñ
jalāo sā.ad-e-sīmīñ kī sham-e-kafūrī
tavīl bosoñ ke gul-rañg jaam chhalkāo
ye surḳh jaam hai ḳhūbān-e-tāshqand ke naam
ye sabz jaam hai lahore ke hasīnoñ kā
safed jaam hai dillī ke dilbaroñ ke liye
ghulā hai jis meñ mohabbat ke āftāb kā rañg
khulī huī hai ufuq par shafaq tabassum kī
nasīm-e-shauq chalī mehrbāñ takallum kī
laboñ kī sho.ala-fishānī hai shabnam-afshānī
isī meñ sub.h-e-tamannā nahā ke nikhregī
kisī kī zulf na ab shām-e-ġham meñ bikhregī
javān ḳhauf kī vaadī se ab na guzreñge
jiyāle maut ke sāhil pe ab na utreñge
bharī na jā.egī ab ḳhāk-o-ḳhūñ se maañg kabhī
milegī maañ ko na marg-e-pisar kī ḳhush-ḳhabarī
koī na degā yatīmoñ ko ab mubārakbād
khileñge phuul bahut sarhad-e-tamannā par
ḳhabar na hogī ye nargis hai kis kī ā.ankhoñ kī
ye gul hai kis kī jabīñ kis kā lab hai ye laala
ye shāḳh kis ke javāñ bāzuoñ kī añgḌā.ī
bas itnā hogā ye dhartī hai shahsavāroñ kī
jahān-e-husn ke gumnām tājdāroñ kī
ye sarzamīñ hai mohabbat ke ḳhvāstgāroñ kī
jo gul pe marte the shabnam se pyaar karte the
ḳhudā kare ki ye shabnam yuuñ hī barastī rahe
zamīñ hamesha lahū ke liye tarastī rahe
manao jashn-e-mohabbat ki KHun ki bu na rahi
baras ke khul gae barud ke siyah baadal
bujhi bujhi si hai jangon ki aaKHiri bijli
mahak rahi hai gulabon se tashqand ki sham
jagao gesu-e-jaanan ki ambarin raaten
jalao saad-e-simin ki sham-e-kafuri
tawil boson ke gul-rang jam chhalkao
ye surKH jam hai KHuban-e-tashqand ke nam
ye sabz jam hai lahore ke hasinon ka
safed jam hai dilli ke dilbaron ke liye
ghula hai jis mein mohabbat ke aaftab ka rang
khuli hui hai ufuq par shafaq tabassum ki
nasim-e-shauq chali mehrban takallum ki
labon ki shoala-fishani hai shabnam-afshani
isi mein subh-e-tamanna naha ke nikhregi
kisi ki zulf na ab sham-e-gham mein bikhregi
jawan KHauf ki wadi se ab na guzrenge
jiyale maut ke sahil pe ab na utrenge
bhari na jaegi ab KHak-o-KHun se mang kabhi
milegi man ko na marg-e-pisar ki KHush-KHabari
koi na dega yatimon ko ab mubarakbaad
khilenge phul bahut sarhad-e-tamanna par
KHabar na hogi ye nargis hai kis ki aaankhon ki
ye gul hai kis ki jabin kis ka lab hai ye lala
ye shaKH kis ke jawan bazuon ki angDai
bas itna hoga ye dharti hai shahsawaron ki
jahan-e-husn ke gumnam tajdaron ki
ye sarzamin hai mohabbat ke KHwastgaron ki
jo gul pe marte the shabnam se pyar karte the
KHuda kare ki ye shabnam yun hi barasti rahe
zamin hamesha lahu ke liye tarasti rahe
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri (Pg. 375)
- Author : ali sardar jafri
- Publication : Qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.