tabarruk
ye merī zindagī bhī ek majlis hai
moharram vaalī majlis
ye jaarī hai
na jaane kab talak jaarī rahegī
abhī tak to baḌī moTī bayāzeñ haath meñ thāme hue do chaar nauha-ḳhvān baaqī haiñ
ik to pahle hī bahut tāḳhīr is meñ ho chukī thī
vo kaafī der se aa.e the
jin ko soz paḌhnā thā
sab apnī apnī bāteñ kar rahe the
maiñ bhī ik kone meñ baiThā der tak suntā rahā sab kī
vo aa.e soz-ḳhvānī kī
aur us ke baa'd maulānā ne bhī taqrīr farmā.ī
fazā.el aa.e to maiñ ne bhī sab ke saath meñ nā're lagā.e
masā.ib aa.e to royā
aur ab halqe meñ mātam kar rahā huuñ maiñ
shabīheñ qumqume tuġhre
‘azā-ḳhāne meñ chhā.ī har taraf lobān kī ḳhushbū
muqaddas haiñ bahut achchhe haiñ
lekin kyūñ-ki mātam kar rahā huuñ maiñ
to mere haath thakte jā rahe haiñ
maiñ dublā patlā laḌkā huuñ
chalo merā 'aqīda hī bahut kamzor hogā
magar maiñ chāhtā huuñ
zarā sī der ko halqe se haT kar ek cigarette phūñk hī aa.uuñ
par aisā kar nahīñ saktā maiñ
kyūñki bānī-e-majlis ‘azā-ḳhāne ke darvāze pe baiThā hai
aur tabarruk to usī ko bāñTnā hai
to mātam kar rahā huuñ maiñ
to maiñ mātam karūñgā
chāhe kuchh ho
kyūñ-ki ab sab ke barābar hī tabarruk chāhiye mujh ko
ye meri zindagi bhi ek majlis hai
moharram wali majlis
ye jari hai
na jaane kab talak jari rahegi
abhi tak to baDi moTi bayazen hath mein thame hue do chaar nauha-KHwan baqi hain
ek to pahle hi bahut taKHir is mein ho chuki thi
wo kafi der se aae the
jin ko soz paDhna tha
sab apni apni baaten kar rahe the
main bhi ek kone mein baiTha der tak sunta raha sab ki
wo aae soz-KHwani ki
aur us ke ba'd maulana ne bhi taqrir farmai
fazael aae to main ne bhi sab ke sath mein na're lagae
masaib aae to roya
aur ab halqe mein matam kar raha hun main
shabihen qumqume tughre
‘aza-KHane mein chhai har taraf loban ki KHushbu
muqaddas hain bahut achchhe hain
lekin kyun-ki matam kar raha hun main
to mere hath thakte ja rahe hain
main dubla patla laDka hun
chalo mera 'aqida hi bahut kamzor hoga
magar main chahta hun
zara si der ko halqe se haT kar ek cigarette phunk hi aaun
par aisa kar nahin sakta main
kyunki bani-e-majlis ‘aza-KHane ke darwaze pe baiTha hai
aur tabarruk to usi ko banTna hai
to matam kar raha hun main
to main matam karunga
chahe kuchh ho
kyun-ki ab sab ke barabar hi tabarruk chahiye mujh ko
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 136)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.