tabdili
mirā beTā
bulūġhat kī hadeñ chhūne lagā hai
use nāzuk rañgā-rañg titliyāñ ḳhush aa rahī haiñ
vo aksar gungunātā hai dhanak naġhme
ab us kī putliyoñ meñ sabz fasleñ lahlahātī haiñ
vo sotā hai to ḳhvāboñ meñ kahīñ gul-gasht kartā hai
ab us kī muskurāhaT meñ chubhan hai
aur us ke haath gustāḳhī ke juuyā ho chale haiñ
vo kānoñ par yaqīñ karne ko raazī hī nahīñ hai
use asbāb kī sachchā.iyoñ par shak guzartā hai
vo ab har chiiz ko chhū kar parakhnā chāhtā hai
mera beTa
bulughat ki haden chhune laga hai
use nazuk ranga-rang titliyan KHush aa rahi hain
wo aksar gungunata hai dhanak naghme
ab us ki putliyon mein sabz faslen lahlahati hain
wo sota hai to KHwabon mein kahin gul-gasht karta hai
ab us ki muskurahaT mein chubhan hai
aur us ke hath gustaKHi ke juya ho chale hain
wo kanon par yaqin karne ko raazi hi nahin hai
use asbab ki sachchaiyon par shak guzarta hai
wo ab har chiz ko chhu kar parakhna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.