Tadfin
tadfīn
chaar taraf sannāTe kī dīvāreñ haiñ
aur markaz meñ ik taaza taaza qabr khudī hai
koī janāza aane vaalā hai
kuchh aur nahīñ to aaj shahādat kā kalma sunñe ko milegā
kānoñ ke ik sadī purāne qufl khuleñge
aaj mirī qallāsh samā.at ko āvāz kī daulat arzānī hogī
dīvāroñ ke saa.e meñ ik bahut baḌā amboh numāyāñ hotā hai
jo āhista āhista qabr kī jānib aatā hai
in logoñ ke qadmoñ kī koī chaap nahīñ hai
lab hilte haiñ lekin harf sadā banñe se pahle mar jaate haiñ
āñkhoñ se aañsū jaarī haiñ
lekin aañsū to vaise bhī
dil o dimāġh ke sannāToñ kī timsāleñ hote haiñ
mayyat qabr meñ utrī hai
aur hadd-e-nazar tak log bilakte hue dikhā.ī dete haiñ
aur sirf dikhā.ī dete haiñ
aur kaan dharo to sannāTe hī sunā.ī dete haiñ
jab qabr mukammal ho jaatī hai
ik būḌhā jo ''vaqt'' nazar aatā hai apne huliye se
hāthoñ meñ uThā.e katba qabr pe jhuktā hai
jab uThtā hai to katbe kā har harf garajne lagtā hai
ye lauh-e-mazār ''āvāz'' kī hai!
tadfin
chaar taraf sannaTe ki diwaren hain
aur markaz mein ek taza taza qabr khudi hai
koi janaza aane wala hai
kuchh aur nahin to aaj shahadat ka kalma sunne ko milega
kanon ke ek sadi purane qufl khulenge
aaj meri qallash samaat ko aawaz ki daulat arzani hogi
diwaron ke sae mein ek bahut baDa amboh numayan hota hai
jo aahista aahista qabr ki jaanib aata hai
in logon ke qadmon ki koi chap nahin hai
lab hilte hain lekin harf sada banne se pahle mar jate hain
aankhon se aansu jari hain
lekin aansu to waise bhi
dil o dimagh ke sannaTon ki timsalen hote hain
mayyat qabr mein utri hai
aur hadd-e-nazar tak log bilakte hue dikhai dete hain
aur sirf dikhai dete hain
aur kan dharo to sannaTe hi sunai dete hain
jab qabr mukammal ho jati hai
ek buDha jo waqt nazar aata hai apne huliye se
hathon mein uThae katba qabr pe jhukta hai
jab uThta hai to katbe ka har harf garajne lagta hai
ye lauh-e-mazar aawaz ki hai!
- Book : Urdu-1983 (Pg. 152)
- Author : Nand Kishore Vikram
- Publication : Publisher & Advertisers J-6, Krishan Nagar, Delhi-110051 (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.