Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taDKHan

Bilal Ahmad

taDKHan

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    koī shīsha chaTaḳhtā hai

    kisī billor taḌḳhan mire kānoñ tak aatī hai

    sutūn-e-ustuḳhvāñ jis par mirā bām-e-shikasta hai yakāyak Dol jaatā hai

    mirī gardan se kuchh nīche jahāñ ye riiḌh chob-e-sitāda kapkapī meñ hai

    vahīñ visvās ke aur ḳhauf ke aur yaas ke jinnāt vahshat raag meñ apnā qadīmī giit gaate haiñ

    tanāv is tarah jaise tanāb-e-jān khiñchtī ho

    dabāo is tarah hai maiñ jaise qulzum-e-tārīk gahrā.iyoñ meñ huuñ

    ki sab par zau-fishāñ sūraj jahāñ saaya nahīñ kartā

    so rañg o raushnī ke aur harārat ke sandese bhī nahīñ aate

    lahū juuñ bahr-e-āshufta sar-e-uftāñ ke sāhil se damādam sar paTaḳhtā hai

    koī shīsha chaTaḳhtā hai

    kisī billor taḌḳhan mire kānoñ tak aatī hai

    koi shisha chaTaKHta hai

    kisi billor ki taDKHan mere kanon tak aati hai

    sutun-e-ustuKHwan jis par mera baam-e-shikasta hai yakayak Dol jata hai

    meri gardan se kuchh niche jahan ye riDh ki chob-e-sitada kapkapi mein hai

    wahin wiswas ke aur KHauf ke aur yas ke jinnat wahshat rag mein apna qadimi git gate hain

    tanaw is tarah jaise tanab-e-jaan khinchti ho

    dabao is tarah ka hai main jaise qulzum-e-tarik ki gahraiyon mein hun

    ki sab par zau-fishan suraj jahan saya nahin karta

    so rang o raushni ke aur hararat ke sandese bhi nahin aate

    lahu jun bahr-e-ashufta sar-e-uftan ke sahil se damadam sar paTaKHta hai

    koi shisha chaTaKHta hai

    kisi billor ki taDKHan mere kanon tak aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now