tafhim
ik na.e shahr meñ
aa gayā huuñ
yahāñ mere alfāz se
mere lahje se
koī bhī vāqif nahīñ hai
mire giit ḳhushiyoñ ke
yā ġham ke iz.hār haiñ
ye koī bhī samajhtā nahīñ hai
magar sehr meñ phir bhī
har shaḳhs Duubā huā hai
mujhe lag rahā hai ki
merī sadā
ek chiḌiyā kī āvāz meñ Dhal ga.ī hai
husn-e-fitrat kā ik raaz
maiñ ho gayā huuñ
ek nae shahr mein
aa gaya hun
yahan mere alfaz se
mere lahje se
koi bhi waqif nahin hai
mere git KHushiyon ke
ya gham ke izhaar hain
ye koi bhi samajhta nahin hai
magar sehr mein phir bhi
har shaKHs Duba hua hai
mujhe lag raha hai ki
meri sada
ek chiDiya ki aawaz mein Dhal gai hai
husn-e-fitrat ka ek raaz
main ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.