tafsil masafat ki
ik din jo baham hoñge
tujh se tire darmāñda
kyā arz guzāreñge
kyā haal sunā.eñge
mauhūm kashīda hai
tasvīr qayāmat kī
shāyad na sunā paa.eñ
tafsīl masāfat kī
lab basta raheñ shāyad
ye din jo guzāre haiñ
mahram hai koī kis kā
yā zaḳhm kī sargoshī
yā hamāre haiñ
āñkhoñ pe kiye saaya
kab duur talak dekhā
larzāñ thī zamīñ kis pal
kab sū-e-falak dekhā
kab dasht kī tanhā.ī
āñkhoñ meñ utar aa.ī
kab vahm samā.at thī
kab kho ga.ī goyā.ī
kis moḌ pe hairāñ the
kis raah meñ vīrāñ the
ijmāl haqīqat ke
shāyad na raqam hoñge
ik din jo baham hoñge
tak leñge tirī sūrat
aur sar ko jhukā leñge
mal Dāleñge āñkhoñ ko
gar yaad sarāb aa.e
gum-sum tirī chaukhaT par
ho jā.eñge ham shāyad
chhū kar tire dāman ko
so jā.eñge ham shāyad
ek din jo baham honge
tujh se tere darmanda
kya arz guzarenge
kya haal sunaenge
mauhum kashida hai
taswir qayamat ki
shayad na suna paen
tafsil masafat ki
lab basta rahen shayad
ye din jo guzare hain
mahram hai koi kis ka
ya zaKHm ki sargoshi
ya hamare hain
aankhon pe kiye saya
kab dur talak dekha
larzan thi zamin kis pal
kab su-e-falak dekha
kab dasht ki tanhai
aankhon mein utar aai
kab wahm samaat thi
kab kho gai goyai
kis moD pe hairan the
kis rah mein viran the
ijmal haqiqat ke
shayad na raqam honge
ek din jo baham honge
tak lenge teri surat
aur sar ko jhuka lenge
mal Dalenge aankhon ko
gar yaad sarab aae
gum-sum teri chaukhaT par
ho jaenge hum shayad
chhu kar tere daman ko
so jaenge hum shayad
- Book : Pakistani Adab (Pg. 197)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.