tafsir
maiñ yūsuf huuñ mujhe bhī bhā.iyo
kueñ meñ phiñkvāo
ki maiñ ne ḳhvāb meñ dekhe haiñ
sūraj chāñd aur taare
mujhe kueñ meñ phiñkvāo
ki mujhe ko qāfile vaale bhare bāzār meñ becheñ
mujhe phir qaid meñ Daale
vo jis ko mujh se raġhbat hai
mujhe jab qaid meñ Daale
to maiñ ḳhvāboñ kī ta.abīroñ se
phir vo martaba pā.ūñ
ki mulkoñ ke ḳhazānoñ kā muhāfiz maiñ bhī kahlā.ūñ
maiñ jab dekhūñ tumheñ pahchān luuñ
par tum na pahchāno
maiñ yūsuf huuñ mujhe bhī bhā.iyo
kueñ meñ phiñkvāo
main yusuf hun mujhe bhi bhaiyo
kuen mein phinkwao
ki main ne KHwab mein dekhe hain
suraj chand aur tare
mujhe kuen mein phinkwao
ki mujhe ko qafile wale bhare bazar mein bechen
mujhe phir qaid mein Dale
wo jis ko mujh se raghbat hai
mujhe jab qaid mein Dale
to main KHwabon ki tabiron se
phir wo martaba paun
ki mulkon ke KHazanon ka muhafiz main bhi kahlaun
main jab dekhun tumhein pahchan lun
par tum na pahchano
main yusuf hun mujhe bhi bhaiyo
kuen mein phinkwao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.