taghaful
haa.e aayā nahīñ us dar se bulāvā merā
ab hai aġhyār ke hāthoñ meñ mudāvā merā
dast-e-āġhyār meñ har jurm kamāñ ho jaa.e
tīr-e-dushnām mirī samt ravāñ ho jaa.e
zaḳhm māthe pe lage gar to koī fikr nahīñ
shikva-e-dost kisī taur bayāñ ho jaa.e
mire shaffāf libāde pe syāhī mal do
mujhe gumnāmī kī daldal se bachā lo logo
mere na hone kā ehsās nahīñ hai us ko
tum sar-e-bazm mirā naam uchhālo logo
haa.e aayā nahīñ us dar se bulāvā merā
ab hai aġhyār ke hāthoñ meñ mudāvā merā
hae aaya nahin us dar se bulawa mera
ab hai aghyar ke hathon mein mudawa mera
dast-e-aghyar mein har jurm kaman ho jae
tir-e-dushnam meri samt rawan ho jae
zaKHm mathe pe lage gar to koi fikr nahin
shikwa-e-dost kisi taur bayan ho jae
mere shaffaf libaade pe syahi mal do
mujhe gumnami ki daldal se bacha lo logo
mere na hone ka ehsas nahin hai us ko
tum sar-e-bazm mera nam uchhaalo logo
hae aaya nahin us dar se bulawa mera
ab hai aghyar ke hathon mein mudawa mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.