taghayyur
calender ke badalne se kahāñ maazī badaltā hai
purāne zaḳhm bharte haiñ bhalā āñkhoñ ko bharne se
jo dil pe vaar ho jaa.e
achānak haar ho jaa.e
anā ko Thes jo pahuñche
dil-o-hosh-o-ḳhirad pe bad-havāsī ho
baḌī gahrī udāsī ho
use jitnā bhī jhuTlāo
nahīñ mumkin ḳhalāsī ho
suno hāthoñ meñ tum jitne calender thaam sakte ho
unheñ tum sāmne rakh lo
hazāroñ maah tum palTo
hazāroñ saal se guzro
magar jo sāneha guzrā
tum us ko bhuul pāoge
calender ko badalne se purāne ġham nahīñ miTte
hazāroñ marhamoñ se bhī ye zaḳhm-e-jāñ nahīñ bharte
calender shauq se palTo
magar guzre hue lamhe na lauTeñge
calender ko badalne se
muqaddar to na badleñge
calender ke badalne se kahan mazi badalta hai
purane zaKHm bharte hain bhala aankhon ko bharne se
jo dil pe war ho jae
achanak haar ho jae
ana ko Thes jo pahunche
dil-o-hosh-o-KHirad pe bad-hawasi ho
baDi gahri udasi ho
use jitna bhi jhuTlao
nahin mumkin KHalasi ho
suno hathon mein tum jitne calender tham sakte ho
unhen tum samne rakh lo
hazaron mah tum palTo
hazaron sal se guzro
magar jo saneha guzra
tum us ko bhul paoge
calender ko badalne se purane gham nahin miTte
hazaron marhamon se bhi ye zaKHm-e-jaan nahin bharte
calender shauq se palTo
magar guzre hue lamhe na lauTenge
calender ko badalne se
muqaddar to na badlenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.