taghayyur
lambī rāteñ TuuT chukīñ
bhīgā chhajjā suukh gayā
dhuup ke chaḌhne kā bhī vaqt
rafta rafta badal gayā
peḌoñ kī shāḳhoñ se gir kar
pattoñ kā ik Dher lagā
sar par chāñdī ne dikhlā.ī
ik tārīkī ek safedī
maazī aur huā dhuñdlā
jab jab mausam ḳhatm hue
kapḌe dhuup meñ Daal diye
lambi raaten TuT chukin
bhiga chhajja sukh gaya
dhup ke chaDhne ka bhi waqt
rafta rafta badal gaya
peDon ki shaKHon se gir kar
patton ka ek Dher laga
sar par chandi ne dikhlai
ek tariki ek safedi
mazi aur hua dhundla
jab jab mausam KHatm hue
kapDe dhup mein Dal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.