tahayyur ishq
ba-mushkil ek hairānī ko
āñkhoñ se nikālā thā
ki phir ik aur hairānī
ye bastī kaisī bastī hai jahāñ par
merā har ik ḳhvāb
hairānī kī ik chādar ko oḌh
so rahā hai
aur tahayyur kī qabā pahne hue haiñ
ashk saare
aur yahāñ tak ki hamāre ishq ne bhī
hijr ke ik sañg par jo lafz likkhā hai
vo hairat hai
vahī ik lafz jo ab mere dil ke
ā.īne se barsar-e-paikār hai
aur kaun jaane
ā.īna baaqī rahegā
yā hamāre ishq kī hairat
ba-mushkil ek hairani ko
aankhon se nikala tha
ki phir ek aur hairani
ye basti kaisi basti hai jahan par
mera har ek KHwab
hairani ki ek chadar ko oDh
so raha hai
aur tahayyur ki qaba pahne hue hain
ashk sare
aur yahan tak ki hamare ishq ne bhi
hijr ke ek sang par jo lafz likkha hai
wo hairat hai
wahi ek lafz jo ab mere dil ke
aaine se barsar-e-paikar hai
aur kaun jaane
aaina baqi rahega
ya hamare ishq ki hairat
- Book : Tahauur-e-Ishq (Pg. 25)
- Author : Humaira rahat
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.