tahlil
maiñ raat aur din kī
masāfat meñ
rañgoñ kī tafsīr meñ
apne saare azīzoñ ke
apne hī hāthoñ se
qatl-e-musalsal meñ masrūf huuñ
phir maiñ kyuuñ sochtā huuñ
sar-e-jām, har shab
ki dīda-varī kī matā-e-firozāñ se
sarshār hotā
to har ḳhufta sar-basta tahrīr se
maiñ gale mil ke rotā
sadāoñ kī sargoshiyoñ meñ utartā
ajab hādsa hai ki kuchh der pahle
mire sāmne ek ghāyal parinda
girā hai mire paañv meñ
sāmne ke fasurda o be-barg
be-rañg se peḌ se
mere jām-e-shikasta meñ
baaqī the qatre mai-e-ḳhām ke kuchh
inheñ chashm-e-minqār se ye musāfir
baḌe ġhaur se dekhtā hai
inheñ gin rahā hai ye shāyad
maiñ sailāb-e-tahlīl meñ huuñ
yahāñ se kahāñ jā.ūñgā
duur gar jā saktā to vahāñ se
yahāñ lauT kar kis tarah
ā.ūñgā maiñ
main raat aur din ki
masafat mein
rangon ki tafsir mein
apne sare azizon ke
apne hi hathon se
qatl-e-musalsal mein masruf hun
phir main kyun sochta hun
sar-e-jam, har shab
ki dida-wari ki mata-e-firozan se
sarshaar hota
to har KHufta sar-basta tahrir se
main gale mil ke rota
sadaon ki sargoshiyon mein utarta
ajab hadsa hai ki kuchh der pahle
mere samne ek ghayal parinda
gira hai mere panw mein
samne ke fasurda o be-barg
be-rang se peD se
mere jam-e-shikasta mein
baqi the qatre mai-e-KHam ke kuchh
inhen chashm-e-minqar se ye musafir
baDe ghaur se dekhta hai
inhen gin raha hai ye shayad
main sailab-e-tahlil mein hun
yahan se kahan jaunga
dur gar ja sakta to wahan se
yahan lauT kar kis tarah
aaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.