tahniyat
kitne baḳht vaale ho
zindagī meñ jo chāhā
tum ne pā liyā āḳhir
azm aur himmat se
fahm se zakāvat se
hai tumhāre dāman meñ
phuul kāmrānī kā
aur tumhāre māthe par
faḳhr kā sitāra hai
ab tumhāre chehre par
aisī shādmānī hai
koī kah nahīñ saktā
dard se bhī vāqif ho
aur tumhāre paañv meñ
der se khaTaktā hai
aarzū kā ik kāñTā
jis se ḳhuun ristā hai
lāla-zār rāhoñ par
is lahū kī surḳhī kī
kāñptī lakīreñ haiñ
in lahū ke dhabboñ meñ
nā-tamām mub.ham sī
ek baat likhī hai
kitne baKHt wale ho
zindagi mein jo chaha
tum ne pa liya aaKHir
azm aur himmat se
fahm se zakawat se
hai tumhaare daman mein
phul kaamrani ka
aur tumhaare mathe par
faKHr ka sitara hai
ab tumhaare chehre par
aisi shadmani hai
koi kah nahin sakta
dard se bhi waqif ho
aur tumhaare panw mein
der se khaTakta hai
aarzu ka ek kanTa
jis se KHun rista hai
lala-zar rahon par
is lahu ki surKHi ki
kanpti lakiren hain
in lahu ke dhabbon mein
na-tamam mubham si
ek baat likhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.