tahqiq pahle kar lo
hāmid ne ik nabī kā qissa mujhe sunāyā
par baat thī kuchh aisī mujh ko yaqīñ na aayā
ammī se maiñ ne pūchhā abbū se maiñ ne pūchhā
daadā huzūr ko bhī sab vāqi.a batāyā
ustād-e-mohtaram se hāsil kī rahnumā.ī
apne imaam sāhab kā dar bhī khaTkhaTāyā
phir ambiyā ke qissoñ vaalī kitāb dekhī
lekin kahīñ bhī aisā qissa koī na paayā
samjhāyā maiñ ne jā kar hāmid ko us ke ghar par
yuuñ mat sunāo sab ko qissa sunā sunāyā
jo vāqi.a sunāo tahqīq pahle kar lo
ya.anī sahī ġhalat kī tasdīq pahle kar lo
hamid ne ek nabi ka qissa mujhe sunaya
par baat thi kuchh aisi mujh ko yaqin na aaya
ammi se main ne puchha abbu se main ne puchha
dada huzur ko bhi sab waqia bataya
ustad-e-mohtaram se hasil ki rahnumai
apne imam sahab ka dar bhi khaTkhaTaya
phir ambiya ke qisson wali kitab dekhi
lekin kahin bhi aisa qissa koi na paya
samjhaya main ne ja kar hamid ko us ke ghar par
yun mat sunao sab ko qissa suna sunaya
jo waqia sunao tahqiq pahle kar lo
yani sahi ghalat ki tasdiq pahle kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.