tahriken qatl nahin hotin
tārīḳh ke paḌhne vāloñ ko
ma.alūm hai ye
koī bhī sitam kaisā hī kaḌā
do-chār ghaḌī kuchh ghanTe hī
kuchh roz mahīna chand baras
chaltī huī tahrīkoñ kā amal
roke bhī agar
to be-ma.anī
tahrīkeñ qatl nahīñ hotīñ
tahrīk chalāne vāloñ ke jismoñ kā lahū
vo īñdhan hai
jo lamha lamha jal jal ke
har past-o-shikasta hausle ko
ik aag farāham kartā hai
tahrīkeñ zinda rakhtā hai
tahrīkeñ qatl nahīñ hotīñ
tariKH ke paDhne walon ko
malum hai ye
koi bhi sitam kaisa hi kaDa
do-chaar ghaDi kuchh ghanTe hi
kuchh roz mahina chand baras
chalti hui tahrikon ka amal
roke bhi agar
to be-mani
tahriken qatl nahin hotin
tahrik chalane walon ke jismon ka lahu
wo indhan hai
jo lamha lamha jal jal ke
har past-o-shikasta hausle ko
ek aag faraham karta hai
tahriken zinda rakhta hai
tahriken qatl nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.