tahrir ki fursat
Dākiya saare jahāñ kī ḳhabreñ
le kar aatā hai magar mere liye
kitnī āvāzeñ mire saath chalā kartī haiñ
kabhī maañ baap ke rone kī sadā
kabhī ahbāb ke phaTte hue jūtoñ kī dukhan
kabhī duniyā ke chaTaḳhte hue aazā kī pukār
sub.h-tā-shām vahī ek shab kā āhañg
dar o dīvār pe uḌtī huī rāhoñ kā ġhubār
rākh-dānī meñ vahī saikaḌoñ sochoñ kā dhuāñ
chaa.e kī pyāliyāñ pheñke hue lamhāt ko lipTā.e hue
shelf meñ dubke hue zehn ke nā-poḳhta-nuqūsh
mez par nisf ḳhatoñ kā ambār
kaun jaane unheñ tahrīr kī fursat kab ho?
Dakiya sare jahan ki KHabren
le kar aata hai magar mere liye
kitni aawazen mere sath chala karti hain
kabhi man bap ke rone ki sada
kabhi ahbab ke phaTte hue juton ki dukhan
kabhi duniya ke chaTaKHte hue aaza ki pukar
subh-ta-sham wahi ek shab ka aahang
dar o diwar pe uDti hui rahon ka ghubar
rakh-dani mein wahi saikaDon sochon ka dhuan
chae ki pyaliyan phenke hue lamhat ko lipTae hue
shelf mein dubke hue zehn ke na-poKHta-nuqush
mez par nisf KHaton ka ambar
kaun jaane unhen tahrir ki fursat kab ho?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.