tahzib ka tasadum
maiñ kisī shahr meñ
traffic hoarding ke ek taraf
kisī baḌe ishtihār meñ uupar
hañstā muskurātā chehra dekhtā huuñ
maiñ dekhtā huuñ
us ke haath meñ
kisī dum-kaTe chitkabre kutte kī
donoñ aglī Tāñgeñ
us kā chehra aur kutte kī naak
mutavāzī
kutte kī āñkhoñ meñ chamak
us ke hoñToñ kī ḳhushī
ek sī
sabz battī jal ga.ī hai
traffic flue jaarī huī
magar maiñ usī hoarding ke nīche
ab bhī khaḌā huuñ
us ke haath meñ chitkabre kī Tāñgeñ
jaise fōtpath par
nange ma.asūm bachche ke nāzuk haath
aur us kā chehra
jaise fart-e-tarab meñ
god jaane kī ḳhushī meñ dekhtā ho apnī maañ ko
main kisi shahr mein
traffic hoarding ke ek taraf
kisi baDe ishtihaar mein upar
hansta muskuraata chehra dekhta hun
main dekhta hun
us ke hath mein
kisi dum-kaTe chitkabre kutte ki
donon agli Tangen
us ka chehra aur kutte ki nak
mutawazi
kutte ki aankhon mein chamak
us ke honTon ki KHushi
ek si
sabz batti jal gai hai
traffic flue jari hui
magar main usi hoarding ke niche
ab bhi khaDa hun
us ke hath mein chitkabre ki Tangen
jaise footpath par
nange masum bachche ke nazuk hath
aur us ka chehra
jaise fart-e-tarab mein
god jaane ki KHushi mein dekhta ho apni man ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.