tahzib
ye aabā kī aqdār kā ik muraqqā
jise vaqt kī ek yalġhār-e-paiham miTātī rahī
aur mire jadd-o-ab
is meñ bad-zeb se rang bharte rahe
ab ye bad-zeb bad-rang naqshoñ kī bhoñDī sī tasvīr mujh ko milī hai
mujhe ye sikhāyā gayā hai
ise apnī āñkhoñ pe rakhūñ
yahī zīnat hajla-e-zīst hogī
mire peḌ ko abr kī nannhī nannhī phuvāroñ ne bālīdgī dī
sunahre ziyā-pāsh sūraj kī kirnoñ ne shāḳhoñ ko chhū kar tavānā.ī baḳhshī
kahīñ duur an-dekhe an-jāne jazīroñ se aa kar sabā ne shagūfoñ ke band-e-qabā khol Daale
ki ye bāryāb-e-tamannā ho
lekin ye sāthī ye dīmak
jaḌeñ chāTtā hai
ye aaba ki aqdar ka ek muraqqa
jise waqt ki ek yalghaar-e-paiham miTati rahi
aur mere jadd-o-ab
is mein bad-zeb se rang bharte rahe
ab ye bad-zeb bad-rang naqshon ki bhonDi si taswir mujh ko mili hai
mujhe ye sikhaya gaya hai
ise apni aankhon pe rakhun
yahi zinat hajla-e-zist hogi
mere peD ko abr ki nannhi nannhi phuwaron ne baalidgi di
sunahre ziya-pash suraj ki kirnon ne shaKHon ko chhu kar tawanai baKHshi
kahin dur an-dekhe an-jaane jaziron se aa kar saba ne shagufon ke band-e-qaba khol Dale
ki ye baryab-e-tamanna ho
lekin ye sathi ye dimak
jaDen chaTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.