tahzib
ye maġhrib hai
yahāñ tahzīb hai
ta.alīm hai
aḳhlāq hai
insān meñ insāniyat hai
yahāñ insāñ kī qīmat hai
tamaddun hai
saqāfat hai
sukūñ hai
amn hai
aur āfiyat hai
ye mashriq hai
yahāñ tahzīb kam
ta.alīm kam
aḳhlāq kam
tamaddun kam
saqāfat kam
sukūñ ġhā.eb
nahīñ insān meñ insāniyat baaqī koī
yahāñ insān kī qīmat nahīñ hai
har ik jānib bapā hai
qatl-o-ġhārat
ġhazab hai
jang hai
us par mukammal be-hisī hai
maiñ ḳhud bhī mashriqī huuñ
aur mujhe is par nadāmat hai
magar is fikr-e-sharminda ko phir bhī
jasārat hai
ki maiñ ye sochtā huuñ
ye sab nā-zebā aur makrūh hathiyār
jo mere sabza-zāroñ ko
jo mere regzāroñ ko
dhueñ kī
ḳhuun kī
qabroñ kī
aur makrūh chīḳhoñ kī
javāñ sauġhāt dete haiñ
vo sab maġhrib meñ bante haiñ
maiñ apne aap se hairān ho kar itnā kahtā huuñ
ki maġhrib to mohazzab hai
ye maghrib hai
yahan tahzib hai
talim hai
aKHlaq hai
insan mein insaniyat hai
yahan insan ki qimat hai
tamaddun hai
saqafat hai
sukun hai
amn hai
aur aafiyat hai
ye mashriq hai
yahan tahzib kam
talim kam
aKHlaq kam
tamaddun kam
saqafat kam
sukun ghaeb
nahin insan mein insaniyat baqi koi
yahan insan ki qimat nahin hai
har ek jaanib bapa hai
qatl-o-ghaarat
ghazab hai
jang hai
us par mukammal be-hisi hai
main KHud bhi mashriqi hun
aur mujhe is par nadamat hai
magar is fikr-e-sharminda ko phir bhi
jasarat hai
ki main ye sochta hun
ye sab na-zeba aur makruh hathiyar
jo mere sabza-zaron ko
jo mere regzaron ko
dhuen ki
KHun ki
qabron ki
aur makruh chiKHon ki
jawan saughat dete hain
wo sab maghrib mein bante hain
main apne aap se hairan ho kar itna kahta hun
ki maghrib to mohazzab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.