tahzib
ye tahzīb āḳhir banā.ī hai kis ne
zamāne kī izzat baḌhā.ī hai kis ne
banā kar badalne kā muḳhtār hai kaun
hayāt-e-musalsal kā fankār hai kaun
mashīnoñ meñ kis kā lahū chal rahā hai
ye kis ke lahū par jahāñ pal rahā hai
batā do ḳhudā ke liye ab batā do
haqīqat ke chehre se parda uThā do
ye tahzib aaKHir banai hai kis ne
zamane ki izzat baDhai hai kis ne
bana kar badalne ka muKHtar hai kaun
hayat-e-musalsal ka fankar hai kaun
mashinon mein kis ka lahu chal raha hai
ye kis ke lahu par jahan pal raha hai
bata do KHuda ke liye ab bata do
haqiqat ke chehre se parda uTha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.