tajarba-gah
patthar ke kamre meñ us ne
miTTī dhaat namak ko
atom
aur is se bhī chhoTe zarroñ meñ bāñTā
ik ūñchī mez pe leTe vaqt ko chloroform sūñghā kar
us ke ek ek uzv ko kaaTā
sadiyoñ
barsoñ aur mahīnoñ
ik ik pal meñ
ek tikone chimTe se
ek slide par merī kuchh sāñseñ rakkhīñ
shīshe kī nalkī se
merī gardan ko hilāyā
do āñkhoñ meñ
maazī haal aur mustaqbil ke ḳhvāb jagā.e
ik tezāb se mujh ko andhā kar ke
ik test-tube zarā sā TeḌhā kar ke
patthar ke kamre mein us ne
miTTi dhat namak ko
atom
aur is se bhi chhoTe zarron mein banTa
ek unchi mez pe leTe waqt ko chloroform sungha kar
us ke ek ek uzw ko kaTa
sadiyon
barson aur mahinon
ek ek pal mein
ek tikone chimTe se
ek slide par meri kuchh sansen rakkhin
shishe ki nalki se
meri gardan ko hilaya
do aankhon mein
mazi haal aur mustaqbil ke KHwab jagae
ek tezab se mujh ko andha kar ke
ek test-tube zara sa TeDha kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.