tajassus
bahut duur se ek āvāz aa.ī
maiñ, ik ġhuncha-e-nā-shagufta huuñ koī mujhe gudgudā.e
maiñ taḳhlīq kā naġhma-e-jāñ-fazā huuñ، mujhe koī gaa.e
maiñ insān kī manzil-e-ārzū huuñ mujhe koī paa.e
bahut duur se ek āvāz aa.ī
maiñ hāthoñ meñ le kar tajassus ki mish.al
bahut duur pahuñchā sitāroñ se aage
mirī rahguzar kahkashāñ ban ke chamkī
mare saath aa.ī ufuq ke kināre
mire naqsh-e-pā ban ga.e chāñd sūraj
bhaḌakte rahe aarzū ke sharāre
vo āvāz to aa rahī hai musalsal
magar arsh kī rif.atoñ se utar kar
maiñ farsh-e-yaqīñ par khaḌā sochtā huuñ
har ik jāda-e-rañg-o-bū se guzar kar
mirī justujū intihā to nahīñ hai
abhī aur nikhreñge rañgīñ nazāre
ye be-nūr zarre baneñge sitāre
sitāre baneñge abhī māh-pāre
ye āvāz jaadū jagātī rahegī
ye manzil yūñhī giit gaatī rahegī
na.e aadmī ko na.e kārvāñ ko
payām-e-tajassus sunātī rahegī
bahut dur se ek aawaz aai
main, ek ghuncha-e-na-shagufta hun koi mujhe gudgudae
main taKHliq ka naghma-e-jaan-faza hun، mujhe koi gae
main insan ki manzil-e-arzu hun mujhe koi pae
bahut dur se ek aawaz aai
main hathon mein le kar tajassus ki mishal
bahut dur pahuncha sitaron se aage
meri rahguzar kahkashan ban ke chamki
mare sath aai ufuq ke kinare
mere naqsh-e-pa ban gae chand suraj
bhaDakte rahe aarzu ke sharare
wo aawaz to aa rahi hai musalsal
magar arsh ki rifaton se utar kar
main farsh-e-yaqin par khaDa sochta hun
har ek jada-e-rang-o-bu se guzar kar
meri justuju intiha to nahin hai
abhi aur nikhrenge rangin nazare
ye be-nur zarre banenge sitare
sitare banenge abhi mah-pare
ye aawaz jadu jagati rahegi
ye manzil yunhi git gati rahegi
nae aadmi ko nae karwan ko
payam-e-tajassus sunati rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.