tajdid
ab mire shāne se lag kar kis liye rotī ho tum
yaad hai tum ne kahā thā
''jab nigāhoñ meñ chamak ho
lafz jazboñ ke asar se kāñpte hoñ aur tanaffus
is tarah uljheñ ki jismoñ kī thakan ḳhushbū bane
to vo ghaḌī ahd-e-vafā kī sā.at-e-nāyāb hai
vo jo chupke se bichhaḌ jaate haiñ lamhe haiñ masāfat
jin kī ḳhātir paañv par pahre biThātī hai
nigāheñ dhund ke pardoñ meñ un ko DhūñDtī haiñ
aur samā.at un kī mīThī narm aahaT ke liye
dāman bichhātī hai''
aur vo lamha bhī tum ko yaad hogā
jab havā.eñ sard thiiñ aur shaam ke maile kafan par haath rakh kar
tum ne lafzoñ aur ta.alluq ke na.e ma.anī batā.e the, kahā thā
''har ghaḌī apnī jagah par sā.at-e-nāyāb hai
hāsil-e-umr-e-gurezāñ ek bhī lamha nahīñ
lafz dhoka haiñ ki un kā kaam iblāġh-e-ma.ānī ke alāva kuchh nahīñ
vaqt ma.anī hai jo har lahza na.e chehre badaltā hai
jaane vaalā vaqt saaya hai
ki jab tak jism hai ye aadmī ke saath chaltā hai
yaad misl-e-nutq pāgal hai ki is ke lafz ma.anī se tahī haiñ
ye jise tum ġham aziyyat dard aañsū
dukh vaġhaira kah rahe ho
ek lamhātī ta.assur hai tumhārā vahm hai
tum ko merā mashvara hai, bhuul jaao tum se ab tak
jo bhī kuchh maiñ ne kahā hai''
ab mire shāne se lag kar kis liye rotī ho tum!
ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum
yaad hai tum ne kaha tha
jab nigahon mein chamak ho
lafz jazbon ke asar se kanpte hon aur tanaffus
is tarah uljhen ki jismon ki thakan KHushbu bane
to wo ghaDi ahd-e-wafa ki saat-e-nayab hai
wo jo chupke se bichhaD jate hain lamhe hain masafat
jin ki KHatir panw par pahre biThati hai
nigahen dhund ke pardon mein un ko DhunDti hain
aur samaat un ki miThi narm aahaT ke liye
daman bichhati hai
aur wo lamha bhi tum ko yaad hoga
jab hawaen sard thin aur sham ke maile kafan par hath rakh kar
tum ne lafzon aur talluq ke nae mani batae the, kaha tha
har ghaDi apni jagah par saat-e-nayab hai
hasil-e-umr-e-gurezan ek bhi lamha nahin
lafz dhoka hain ki un ka kaam iblagh-e-maani ke alawa kuchh nahin
waqt mani hai jo har lahza nae chehre badalta hai
jaane wala waqt saya hai
ki jab tak jism hai ye aadmi ke sath chalta hai
yaad misl-e-nutq pagal hai ki is ke lafz mani se tahi hain
ye jise tum gham aziyyat dard aansu
dukh waghaira kah rahe ho
ek lamhati tassur hai tumhaara wahm hai
tum ko mera mashwara hai, bhul jao tum se ab tak
jo bhi kuchh main ne kaha hai
ab mere shane se lag kar kis liye roti ho tum!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.