tajdid-e-amal
uTh az-sar-e-nau dahr ke hālāt badal Daal
tadbīr se taqdīr ke din-rāt badal Daal
phir dars-e-musāvāt kī hājat hai jahāñ ko
āqā.ī-o-ḳhidmat ke ḳhitābāt badal Daal
kaalā ho ki gorā ho ḳhudā ek hai sab kā
qaumiyyat-e-bejā kī rivāyāt badal Daal
chīnī ho ki hindī ho barābar ke haiñ bhaa.ī
vataniyyat-e-mahdūd ke vahmāt badal Daal
kul chhoTe-baḌe ādam-e-ḳhākī ke haiñ farzand
har nasl se bezār ho har zaat badal Daal
aḳhlāq meñ tāqat hai fuzūñ teġh-o-sināñ se
paikār ke ye āhanī ālāt badal Daal
kyā zulm hai insān ho insān kā dushman
mardān-e-havas-kār kī ādāt badal Daal
mehnat se bhī mazdūr ko roTī nahīñ miltī
is banda-e-majbūr ke auqāt badal Daal
aapas meñ ye har roz kī ḳhūñ-reziyāñ kab tak
ḳhud-sāḳhta maz.hab kī rusūmāt badal Daal
hurriyat-e-kāmil kā vo e.ajāz dikhā tū
duniyā-e-ġhulāmī ke tilismāt badal Daal
ḳhilqat ko bulā shirk se tauhīd kī jānib
pīroñ kī faqīroñ kī karāmāt badal Daal
ta.alīm pe mauqūf hai rānā.i-e-afkār
behūda kitāboñ kī ḳhurāfāt badal Daal
kar fikr-e-amal zikr-e-ḳhat-o-ḳhāl abas hai
ai 'faiz' zarā apne ḳhayālāt badal Daal
uTh az-sar-e-nau dahr ke haalat badal Dal
tadbir se taqdir ke din-raat badal Dal
phir dars-e-musawat ki hajat hai jahan ko
aaqai-o-KHidmat ke KHitabaat badal Dal
kala ho ki gora ho KHuda ek hai sab ka
qaumiyyat-e-beja ki riwayat badal Dal
chini ho ki hindi ho barabar ke hain bhai
wataniyyat-e-mahdud ke wahmat badal Dal
kul chhoTe-baDe aadam-e-KHaki ke hain farzand
har nasl se bezar ho har zat badal Dal
aKHlaq mein taqat hai fuzun tegh-o-sinan se
paikar ke ye aahani aalat badal Dal
kya zulm hai insan ho insan ka dushman
mardan-e-hawas-kar ki aadat badal Dal
mehnat se bhi mazdur ko roTi nahin milti
is banda-e-majbur ke auqat badal Dal
aapas mein ye har roz ki KHun-reziyan kab tak
KHud-saKHta mazhab ki rusumat badal Dal
hurriyat-e-kaamil ka wo eajaz dikha tu
duniya-e-ghulami ke tilismat badal Dal
KHilqat ko bula shirk se tauhid ki jaanib
piron ki faqiron ki karamat badal Dal
talim pe mauquf hai ranai-e-afkar
behuda kitabon ki KHurafat badal Dal
kar fikr-e-amal zikr-e-KHat-o-KHal abas hai
ai 'faiz' zara apne KHayalat badal Dal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.