tajdid-e-mohabbat
huī muddat ki tujh se baat karne ko tarastā huuñ
maiñ huuñ ashkoñ kā bādal terī furqat meñ barastā huuñ
tire dil kī ġhalat-fahmī mire aañsū na dho paa.e
bane haiñ aaj jo virsa haiñ terī yaad ke saa.e
mujhe itnā batā de jān-e-man mujh se ḳhafā kyoñ hai
bhulā kar qaul apne aaj tū mujh se judā kyoñ hai
jo tū mujh se chhupātī hai na jaane raaz kaisā hai
nazar phūloñ pe rakh kar pyaar kāñToñ se ye kaisā hai
zabāñ par zikr merā hai karam us par dikhātī ho
ye ḳhat kis kā hai chupke se jo āñchal meñ chhupātī ho
tirī ye be-ruḳhī hamdam mujhe betāb kartī hai
mujhe bechain aksar sūrat-e-sīmāb kartī hai
kisī manzil pe kyā ab rāste phir mil nahīñ sakte
mohabbat ke fasurda phuul kyā phir khil nahīñ sakte
mujhe dīvāna kar degī tamanna tujh se milne kī
ijāzat de mohabbat kī kalī ko phir se khilne kī
mujhe phir se koī ḳhat phir koī paiġhām likh bhejo
nahīñ kuchh aur to kāġhaz pe apnā naam likh bhejo
hui muddat ki tujh se baat karne ko tarasta hun
main hun ashkon ka baadal teri furqat mein barasta hun
tere dil ki ghalat-fahmi mere aansu na dho pae
bane hain aaj jo wirsa hain teri yaad ke sae
mujhe itna bata de jaan-e-man mujh se KHafa kyon hai
bhula kar qaul apne aaj tu mujh se juda kyon hai
jo tu mujh se chhupati hai na jaane raaz kaisa hai
nazar phulon pe rakh kar pyar kanTon se ye kaisa hai
zaban par zikr mera hai karam us par dikhati ho
ye KHat kis ka hai chupke se jo aanchal mein chhupati ho
teri ye be-ruKHi hamdam mujhe betab karti hai
mujhe bechain aksar surat-e-simab karti hai
kisi manzil pe kya ab raste phir mil nahin sakte
mohabbat ke fasurda phul kya phir khil nahin sakte
mujhe diwana kar degi tamanna tujh se milne ki
ijazat de mohabbat ki kali ko phir se khilne ki
mujhe phir se koi KHat phir koi paigham likh bhejo
nahin kuchh aur to kaghaz pe apna nam likh bhejo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.